Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare? Apne blog ke sitemap ko Search engines jaise Google, Bing, Yahoo par submit karne ka matlab hota hai ki hum apne blog ke bare me Search engine ko inform kar rahe hai ki hamare blog pe kya kya content hai.. Maan lijiye ki aapne ek blog banaye par aapne apne blog ki jankari search engine me submit nahi ki, to kya search engine aapke blog ko apne search result par show karega ? Nahi , jab tak aap apne blog ka sitemap search engine par submit nahi karoge tab tak search engine aapke blog ko apne search result par show hi nahi karega.

Ye SEO ke liye pehal step hai ki aap apne blog ka sitemap search engne par submit karo taki aapka blog ko SEO friendly ban sake. Aaj hum aapko isi topic me batane ja rahe hai ki kaise aap apne blog ka sitemap create karke Google search engine me sublit kare.

Agar aap ek blogger ho to aapko ye pata hi hoga ki, aapka blog google search engine par index hone ke liye kafi samay lag jata hai.. Matlab aapne ek blog banaya or wo blog google search engine par show hi nahi karta.

Maan lijiye ki maine 1st January ek blog banaya or daily main 2 post publish karta hu.. As a result 1 mahine bad main 60 post publish kar chuka honga.. But 1 mahine bad bhi mere blog Google search engine par show nahi karta.

Iska main reason ye hai ki humne Google ko hamare blog ke bare me bataya hi nahi.. Matlab humne apne blog ko Google search engine par index kiya hi nahi. Aisa nahi hai ki hamara blog Google search engine par index hoga hi nahi , lekin iske liye almost 40 to 60 days lag jate hai…
Aaj hum aapko batane ja rahe hai ki kaise aap apne blog ko manuallygoogle seach engine par index karke within 7 days aap apne blog ko index kar sakte hai…

Google Me Apne Blog Ko Index Karne ka matlab kya hai ?

Log har chij ki jankari ke liye Search engine ka sahara lete hai or Google is number one Search engine. Maximun visitor google search engine se hi aate hai. Or agar google ko pata ho ki aapke blog me kitane post or pages hai to wo usay apne search engine database par index karta hai, or jis process se hum Google search engine ko apne blog ke bare me batate hai usi ko Blog indexingkahte hai.

Kaise pata kare ki hamare blog Google par index hua hai ya nahi ?

Aap google.com par search karke dekh sakte hai ki aapka blog google search engine pa index hua hai ya nahi. Iske liye type kare site:blogurl
For example , agar main apni blog smart2blogging.blogspot.com ko google.com par search karta hu to main type karunga site:smart2blogging.blogspot.com

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Aap image me dekh sakte ha ki hamara blog abhi google search engine par index nahi hua hai. Isliye koi result nahi najar aa raha hai. To aaiye jante hai ki kaise apne blog ko google search engine par submit kare…

Kaise Apne Blog Ko Google Search Engine Me Index Kare..

Aaj main apne is blog ko google search engine par index karunga or bataunga ki kaise aap bhi apne blog ko index kar sakte hai ..

Sabse pahle aapko apne blog ka XML SITEMAP create karna hoga, jise aap online generate kar sakte hai. https://ctrlq.org/blogger/ ek aisi website hai jo aapko aapke blog ki XML SITEMAP generate karke deta hai. Pehle aap https://ctrlq.org/blogger/ par jaye or waha par apna blog ka URL type kare.. Or Generate Sitemap par click kare..

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare
Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Jaisa ki aap dekh sakte hai ki mere blog ka sitemap create ho gaya hai. Jisme aapko apne URL ke baki ka hiss copy karna hai.. For example agar mere blog ka XML SITEMAP

https://smart2blogging.blogspot.com/atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500

hai to main sirf iska

atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500

hi copy karunga… XML SITEMAP online generate karne ke bad isko Google SEARCH engine par index karna hai.. Iske liye aap apne browser par https://search.google.com/ url type kare or login kare, jo ki ye google ka hi service hai, aap usme apne gmail id or password ke madad se login kar sakte hai.

Login karne ke bad aapko apne blog ki property add arni hai… Jiske liye ADD A PROPERTY par click kare

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare
Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare


Jaisa ki aap upar ki image me dekh sakte ho ki maine apne bloghttps://smart2blogging.blogspot.com/ ko type kiya hai , yaha par aap apne blog ka URL type kare.

Property add karna ka matlab ye hai ki aap google search engine ko apne blog ke bare me bata rahe ho. Par sirf blog ke bare me batana hi kafi nahi hai aapko apne blog ko google search engine par index bhi karna jaruri hai… Jiske liye aapko apne blog ki XML SITEMAP ki jarurat hogi jisay sitemap bhi kaha jata hai.

Apne blog ka sitemap submit karne ke liye SITEMAP par click kare…

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Aap upar ke photo me dekh sakte hai ki No Sitemaps najar aa raha hai… Aisa isliye hai kyonki abhi tak humne apne blog ki SITEMAP submit nahi ki hai…

Sitemaps par click karne ke bad ADD/TEST SITEMAPS par click kare…

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Ab aap ne jo Online sitemap generate kiya tha usay yaha par paste kare or Submitbutton par click kare.

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Jaise hi aap Submit button par click karenge aapke blog ka Sitemap submit hone suru ho jayega.. Ab aapko ek message aayega ki aapka sitemap submit ho gaya hai or ab aapko apne browser page ko refresh karna hai.

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Apne browser page ko refresh karne ke bad aap dekh sakte hai hi aapke blog ka sitemap google par submit ho chuka hai or abhi wo processing me hai matlab Pending hai… But within 7 days aapka blog search engine par show karne lagega..

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Jab maine apna pehla blog banaya tha tab mera blog 2 mahino tak google search engine par show nahi kar raha tha, tab mujhe pata nahi tha ki kaise apne blog ko search engine par index karu.. But jab mujhe iske bare me pata chala tab maine apne blog ka SITEMAP google par submit kiya or kuch hi dino me mera blog google search enging par show karne laga…

Update : Maine ye post 5/8/2017 ko publish ki thi or apne blog ko google search engine bhi kiya tha. Aaj thik 5 din bad mera blog google search engine par index ho chuka hai. Aap niche image me dekh sakta hai…

Google Seach Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

Conclusion : 5 din me hi me hi google ne mere blog ko index kar diya hai.Aisa karke aap bhi apne blog ko google search engine par jald se jald show kara sakte hai.. HAPPY BLOGGING

Scroll to Top