Android Mobile Me App Install Or Uninstall Kaise Kare? Ye post unke liye hai jinhone apna new Android mobile liya hai or wo ye nahi jante ki kaise apne mobile me app install ya fir uninstall kare. App ko install karne ke matlab hota hai app ko apne mobile me download karna.. Aaj hum aapko batayenge ki kaise aap khud se apne mobile me app install kar sakte ho or kaise kisi bhi app ko uninstall kar sakte ho.
Jab koi apna naya mobile kharidata hai to sabse pehle wo apne mobile me games, whatsapp, Facebook or bahut se app ko install karna chahte hai , but app install kaise kiye jaye unhe ye nahi pata hota.. Or isi chakkar me wo mobile shop me jate hai or paise kharch karke apne mobile me app install karwate hai.
Agar aap bhi aisa karne ki soch rahe hai to jara rukiye, aaj hum aapko batayenge ki kaise aap khud se bahut aasani se apne mobile me apne pasand ka app install kare, or agar aapne jo app apne mobile me install kiya hai wo aapko pasand nahi hai to kaise usay apne mobile se unistall kare yani ki kaise app ko apne mobile se delete kare.. Lekin apne mobile me app install karne se pehle ye jaan lijiye ki app ko install karne ke liye kya kya chahiye ..
Apne mobile me app install karne ke liye kiski jarurat hoti hai ?
Apne mobile me app install karne ke liye internet connection or gmail account ki jarurat hoti hai. Agar aapne apne mobile me internet pack dala hua hai or aapka gmail account nahi hai to aap app install nahi kar paoge… Sabse pehle apna gmail account banaiye.. Gmail account kaise banaye iske bare me humne apne previous post me detail se bataye hai aap usay jarur read kare or sabse pehle khud ka gmail account banaye .. Gmail account kaise banaye ?
To ye to clear hai to app ko install karne ke liye internet connection or gmail account ki jarurat hoti hai, lekin sawal ye aata hai ki app kaha se download kiya jata hai.. To chaliye iske bare me bhi aapko bata dete hai..
App kaha se install kare ?
Har android mobile me ek application pehle se mobile me install rehta hai jiska naam hai Play Store.. Aap play store app ke jariye koi sa bhi app apne mobile me bahut aasani se install kar sakte ho.. Play Store app ko open karne ke liye gmail account ki jarurat hoti hai, isliye agar aapko apne mobile me aap install karna hai to aapke pas ek gmail account hona hi chahiye..
Ek baat yaad rakhe ki aap app install karwane ke liye apne friends, relatives ya for mobile shop me ja kar app install karwa sakte hai.. Lekin agar aap khud se apne mobile me app install karna sikh jaoge to aapko kisi ke pas jane ki jarurat nahi hogi, aap khud se apne mobile me app install kar sakte ho.. Isliye aaj hum aapko yahi sikhayenge ki kaise aap apne mobile me app install kare…
Android Mobile Me App Install Or Uninstall Kaise Kare
Android Mobile Me App Install Kaise Kare ?
Hume ummid hai ki aap aaj ye jarur sikh jaoge ki kaise apne mobile me app install kare or hume ye bhi ummid hai ki aapne apna gmail account bana liya hai, lekin agar aapne apna gmail account abhi tak nahi banaye hai to sabs pehle aap hamara ye post read kare or khud ka gmail account banye – Kaise apna gmail account banaye ?
Apne mobile me app install karne ke liye niche diye gaye steps ko dhyan se follow kare..
STEP – 1

Sabse pehle aap apne mobile ka internet data on kar lijiye or Play Store app ko open kijiye.
STEP – 2

Play Store app ko open karte hi aapko login karne ko kaha jayega, yaha par aapko Existing par click karna hai.
STEP – 3

1. Email ki jagah pe apna gmail id dale.
2. Password ki jagah pe apna gmail password dale.
3. Next par click kare.
STEP – 4

Ok par click kare.

Ok par click karte hi Sign in process start ho jayega.
Iske bad Next button par click kare.
STEP – 5

Itna karte hi Play Store ka app khul jayega or aapko play store ka home page najar aayega. Yaha aapko bahut sare application mil jayenge , aap apne pasand ka app ko upar diye gaye search box me type karke search karna hoga. Jaise ki mujhe whatsapp download karna hai to me yaha whatsapp likh ke search karunge.
STEP – 6

Apni pasand ka app search karne ke bad us app ko install kare, jaisa ki maine whatsapp search kiya tha , whatsapp search karne ke bad whatsapp ka app dikhai de raha hai ab me isay install karne ke liye INSTALL par click karunga. Install par click karte hi app install hona suru ho jayega.

App install hone ke bad yaha aako 2 option najar aayenge UNINSTALL or OPEN, aap open me click karke app ko open kar sakte hai. App Install hone ke bad app ka icon mobile me create ho jata hai, aap directly apne app icon par click karke app ko open kare.
To friends aapne sikh liya ki kaise apne mobile me app install kare, lekin fir bhi aapko kuch samajh me naya ho to hume comment ke jariye jarur bataye. Ab app to install ho gaya par sirf app ko install karna sikh lena kafi nahi hota, hume pata hona chahiye ki app ko kaise delete kiya jaye , matlab ki kaise app ko uninstall kiya.. Chaliye iske bare me bhi jaan lete hai …
App ko kaise uninstall kare ?
App ko delete karna yani ki uninstall karna bahut hi aasan hai. Hum aapko 2 tarike batayenge aap apne hisab se jo tarika aapko simple lage usay aajmaye.
Pehla tarika
Aap jis app ko delete karna chahte hai uske icon par thodi der daba kar rakhe , aisa karte hi aapko upar delete ka option najar aayega bas aapko apne app ko khick kar waha le jana hai or chhod dena hai. Aap niche diye gaye video ko dekhe or samjhe..

Aapko uninstall ka option select karna hai or app ko delete kar dena hai. Aisa karte hi aapka app mobile se delete ho jayega.
Dusara tarika

Sabse pehle apne mobile ki setting me jaye or Apps par click kare.

Aap jis app ko apne mobile se delete karna hai us par click kare.

Ab Uninstall par click kare, Aisa karte hi aapne jo app select kiya hai wo aapke mobile se delete ho jayega.
To friends aaj aapne sikha Android Mobile Me App Install Or Uninstall Kaise Kare, agar aapko hamari ye article helpful lagi to hume comment ke jariye jarur bataye. Agar aapko apne mobile me app install or uninstall karne me koi problem aa rahi hai to aap apni problem humse share kare taki hum aapki sabhi problems solve kar sake. THANKS