Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare? Facebook ek social networking site hai or sabhi blogger ko pata hai ki agar sabse jyada blog traffic kisi social network se aati hai to wo hai FACEBOOK. Aap blogger ho to aisa ho hi nahi sakta ki aapne apne blog ka Facebook page nahi banaye ho. Har blogger apne Facebook page par apne blog post ko promote karta hai jissay page ko like karne wale log hamare FB page ke jariye blog ko visit karte hai or unhe hamare blog ka update bhi milta rehta hai.

Agar aap ek blogger ho or aapne apne Facebook page nahi banaye hai to ye bahut dukh ki baat hai, kyonki aap apne blog par bahut traffic loss kar rahe ho.

Sabse pehle aapko apna ek Facebook page banana hoga taki aapke blog visitors aapke Facebook ke jariye bhi aapke blog ke contact me rahe. Hota ye hai ki jab koi visitor aapke blog par aata hai to sabse pehle wo aapke article ko read karte hai or agar usay aapke blog ka article bahut accha lagta hai to wo aapke blog ko subscribe karta hai taki usay aapke blog ke new update mil sake. Lekin unme se bahut se aise visitors hote hai jo blog subscribe nahi karte kyonki unhe ya to email subscription ke bare me pata nahi hota ya fir wo apne email ko access nahi karte.

Aise me agar aap apne blog me Facebook like box lagate ho to aap un sabhi visitors ke sath connected reh sakte ho jo Facebook me active rehte hai. Waise duniya me bahut hi aise kam log honge jinka Facebook account na ho, or aise me aapke Facebook page ko like karne ke chances kahi jyada badh jate hai. Apne blog me Facebook like box lagane ke bahut se fayde hai chahiye inke bare me bhi aapko bata dete hai.

Facebook like box lagane ke kya fayde hai?

  • Facebook page aapke blog ke look ko impressive banata hai or aapki social branding karne me aapki help karta hai.
  • Fb like box ke jariye koi bhi visitor aapke fb page ko directly like kar sakta hai, jissay visitors ko aapke fb page pe jane ki jarurat hi nahi hoti.
  • Jab bhi aap apna blog post fb page par share karte ho to jinhone aapke fb page ko like kiya hai unke timeline par aapke post ke bare me information milti hai jissay wo aapke blog par visit karte hai.
  • Facebook like box ke jariye pata chalta hai ki aapke blog ko kitne logo ne like kiye hai, jissay aapke blog ki trust value improve hoti hai.

To friends ab aapko pata chal gaya hoga ki apne blog pe Facebook like box lagane se kya hota hai. Ab chaliye aapko batate hai ki fb like box dikhta kaisa hai.

Aap upar diye gaye fb like box ko dekh sakte ho ye hamare blog ka Facebook like box hai. Yaha aap clearly dekh sakte ho ki hamare blog ke fb page ko kitne logo ne like kiya hai, aap directly Like par click karke hamare fb page ko like bhi kar sakte ho.

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

Blog pe fb like box ko add karna bahut hi aasan hai bas aapko hamare bataye gaye guide ko acche se follow karna hoga.

Sabse pehle Niche diye gaye code ko copy kare.

<center><iframe style="border: none; overflow: hidden; height: 150px;" src="//www.facebook.com/plugins/likebox.php?href=https://www.facebook.com/smart2blogging/&amp;width&amp;height=180&amp;colorscheme=light&amp;show_faces=true&amp;header=false&amp;stream=false&amp;show_border=false&amp;appId=299013060234545" width="300" height="150" frameborder="0" scrolling="no"><span data-mce-type="bookmark" style="display: inline-block; width: 0px; overflow: hidden; line-height: 0;" class="mce_SELRES_start"></span></iframe></center>

Bas aapko is code ko apne blog par lagana hai. Lekin code ko lagane se pehle aapko apne Facebook page ka url dalna hoga. Aap code me dekh sakte hi ki https://www.facebook.com/smart2blogging/ hamare facebook page ka url hai, bas aapko isi url ko apne Facebook page ke url se replace karna hoga.

Facebook page url kaha se laye?
Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

Apne Facebook page ko open kare or browser me jo url najar aayega wahi aapke facebook page ka url hai, bas iski copy kare or code ke apne fb page ka url dale.

To friends ab aap samajh gaye hoge ki code me kaise apne fb page ka url add karna hai.Ab chahiye aapko batate hai ki kaise aap apne blog me fb like box add kar sakte ho.

Blogger blog me Facebook like box kaise lagaye?

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

1. Sabse pehle apne blogger dashboard pe jaye or Layout par click kare.
2. Sidebar me +Add a Gadget par click kare.
3. Jaise hi aap +Add a Gadget par click karoge waise hi ek popup box open hoga jaha par aapko HTML/JavaScript par click karna hai.

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

1. Aap jo fb like box apne blog par lagane wale ho uska ek Title likhe, jaisa ki aap upar diye gaye image me dekh sakte ho ki humne likha hai Like Us On FB, aap bhi apne hisab se apne fb like box ka title likhe.
2. Facebook like box code ko paste kare.
3. Save par click kare.

Bs itna karte hi aapke blog me fb like box add ho jayega.

WordPress blog me Facebook like box kaise lagaye?

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

1. Apne WordPress dashboard me Appearance par click kare.
2. Widgets par click kare.
3. Custom HTML par click kare.
4. Jaise hi aap Custom HTML par clik karoge waise hi aapko bahut se location najar aayenge, bas aapko wo location select karna hai jaha aapko fb like box lagane hai. Jaisa ki aap upar diye gaye image me dekh sakte ho ki mujhe apne blog ke sidebar me fb like box lagane hai isliye maine Sidebar option select kiya hai.
5. Add widget par click kare.

Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?

1. Apne fb like box widget ka Title likhe.
2. Code ko paste kare.
3. Save par click kare. Bs itna karte hi aapke blog me fb like box add ho jayega.

Friends aaj aapne sikha ki kaise blog me Facebook like box add karte hai, agar aap apne blog me custom Facebook like box add karna chahte ho to hamare ye article jarur read kare- How to add custom fb like box in blog?

Hume puri ummid hai ki aaj ka article aapke liye bahut helpful raha hoga or aap apne blog me fb like box lagane me success bhi huye hoge. Agar aapko blogging se related koi bhi problem hai jisay aap solve nahi kar pa rahe ho to hume comment jarur kare taki hum aapki sabhi problems solve kar sake or hamare fb page ko like karna na bhule. HAPPY BLOGGING

X

2 thoughts on “Apne Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare?”

  1. Bro meri blog mein nhi add ho raha hai…niche isko 404 error aa raha jahan mein html mein add kar raha houn page link bhi kaat kar apni dali check my blog..

Comments are closed.