Meta description kisi bhi website ya blog ka description hota hai hai jisay search engine read karte hai. Har blog me meta description hona hi chahiye taki search engine ko hamare bog ke bare me pata chal sake. Meta description kisi bhi blog ke bare me short description hoti hai jo batati hai ki blog kis topic or content se belong karta hai.
Humne apne previous article me bataya tha ki kaise aap apne blog setting ke jariye Meta description add kar sakte ho or aaj hum apne is article me aapko batayenge ki kaise aap meta description code generate karke usay apne template me add kare.
For example – Agar aap hamare blog ka url ko google pe search karoge to , aapko hamare blog ke niche jo text najar aayenge wahi hai meta description hai.

Ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki kisi bhi blog ke liye mete description kyon jaruri hota hai. To chaliye ab hum aapko batate hai ki ek meta description code me kya kya hota hai..
Meta description code me kya kya hota hai..
Meta description code aapke blog ki jankari search engine ko batati hai jissay aapke blog ko search ranking karne ne aasani hoti hai or SEO ke liye bhi ye jaruri hai ki aap apne blog ka Meta description jarur lagaye. Meta description me blog ka description, Keywords, Author name, language, country or robot.txt ke bare me jankari hoti hai. Chaliye inke bare me clearly aapko batate hai..
DESCRIPTION – Ye aapke blog ka short description hota hai. Description batata hai ki aapka blog kiske bare me hai. Description ka length 150 letter ka hota hai, isliye aapko apne blog ke bare me 150 letters me hi describe karna hai (including space).
For example – Agar me apne blog ka description likhunge to kuch aisa hoga – Top Hindi blog for all blogging guide, blogging ki puri jankari Hindi me.
KEYWORDS – Keywords search engine ko batata hai ki aapke blog par kis main topic par articles hai. Aap yaha apne blog ki categories likh sakte ho. Jaise – SEO, Blogging, Adsense, Make money.. Par ye dhyan rahe ki aap jo bhi keywords use karo uske biche me comma use kare.
AUTHOR NAME – Ye batati hai ki blog ka owner kon hai or blog ko manage kon karta hai. Yaha aapko apna pura naam likhna hai. Agar aap nahi chahte ki search engine blog ke owner ka naam jane to isay blank chhod sakte ho. But hamara suggestion hai ki aap apne naam jarur fill kare taki aapke blog aapke naam se sath search engine par show kare..
ROBOT.TXT – Yaha aapko select karna hai aap apne blog par kisay search engine se chipana chahte ho. By default ye value all hota hai , matlab ki search engine aapke sabhi post or pages ko dekh sakti hai or usay apne search result me index kar sakti hai. Isay aap all hi rehne dijiye..
COUNTRY – Ye search engine ko batati hai ki aapka blog kis country se belong karta hai.
LANGUAGE – Ye search engine ko batati hai ki aapka blog kis language me hai.
To friends ab aap puri tarah samajh gaye hoge ki ek meta description code me hota kya hai , ab aapko niche diye gaye code ko modify karke apne blog ke template par lagana hoga.
<META NAME="Description" CONTENT="Description here" />
<META NAME="Keywords" CONTENT="Keyword here" />
<META NAME="Author" CONTENT="Your Name here" />
<META NAME="Robots" CONTENT="All" />
<META NAME="language" CONTENT="Language" />
<META NAME="Country" CONTENT="Country name" />
Description here = yaha aapko apne blog ka description likhna hai.
Keyword here = yaha aapko apne blog ka keyword likhna hai.
Your Name here = yaha aapko apna naam likhna hai.
Language = Yaha aapko apne blog ka language likhna hai, agar aapka blog English me hai to yaha English likhe.
Country name = Yaha aapko apni Country ka naam likhna hai.
Ab aapne apni meta code modify kar liye hoga, ab aapko isi code ko apne blog ke template me add karna hai.
Meta description code ko template par kaise add kare..
Apne blogger me login kare Theme >> Edit Html me jaye.

Yaha aapko <head> ke niche apne meta description code ko paste karna hai or Save theme par click karna hai.
Bas itna hai , Aap apne blog ka meta description code apne template pe add karke search engine ko wo sari information de sakte jissay search engine ko help milegi aapke blog ko index karne ke liye. To friends agar aapko hamare ye post accha laga ya fir aap humse kuch puchna chahte ho to aap hume comment jarur kare. HAPPY BLOGGING
हमारी अन्य सेवाएं
- Adsense approved करवाना
- Wordpress setup
- Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
- किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
- Android App बनाना