Aapne chahe jaha se bhi hosting buy kiya ho kisi bhi Web Hosting par WordPress install yani ki setup karne ka process ek jaisa hi hai. Aaj ka hamara post aapko WordPress setup kaise karte hai uske bare me batayega or aap janoge ki Hosting plan kharidane ke bad apne web hosting me WordPress kaise install kiya jata hai.
Waise aapko pata to hoga hi ki WordPress blogging ke liye sabse best platform hai or maximum bloggers WordPress par hi apne blog run karte hai. Agar aapne apna blog banaye hai to aapko ye to jarur pata hoga ki maximum jitne bhi successful blogger hai wo apna blog WordPress ke jariye hi maintain karte hai.
WordPress aapko ek aisa blogging platform deta hai jaha par aap jaisa chahte ho waise aap apne blog ko design kar sake ho.
Overall agar aapko WordPress ke jariye apna blog banana hai to aapko web hosting ki jaruart hogi. Agar aapne web hosting buy kar liye hai to aap ye jarur janna chahoge ki ab web hosting me WordPress kaise install kiya jaye, lekin agar aapne web hosting buy nahi ki hai to hamare ye post ko read karna na bhule – Web hosting kaha se kharide? full guide in Hindi
To chaliye jante hai ki Apne Hosting me WordPress setup kaise kare full guide in Hindi
Apne Hosting me WordPress setup kaise kare full guide in Hindi
Web hosting kharidane ke bad aapko email ke jariye cPanel url, Username or Password diya jata hai. Jiske jariye aap apne cPanel me login kar sakte ho.
STEP – 1

Jaisa ki maine aapko bataya ki Web Hosting kharidane ke bad email ke jariye aapko Cpanel url, username or password di jati hai. Bas aapko cPanel url ko open karna hai or diye gaye username or password ke jariye login karna hai.
STEP – 2

1. cPanel me login karte hi aapko bahut sare option najar aayenge or sabse top me aapko ek search box bhi najar aayega. Search box me WordPress likh kar search kare.
2. WordPress search karte hi aapko WordPress Manager by Softaculous najar aayega, bas aapko WordPress Manager by Softaculous par click karna hai.
STEP – 3

Install par click kare.
STEP – 4
Install Now par click karte hi aapko apne WordPress ko install karne se pehle kuch settings karni hogi. Aap niche diye gaye screen-shot ko dhyan se dekhe or follow kare.

1. Choose Protocol – Yaha par aapko 4 options show honge
- http://
- http://www.
- https://
- https://www.
In charo option me se aapko ek option select karna hai. Agar aapne apne domain name ke liye SSL certificate buy kiya hai to aapke domain name me https:// hoga or agar nahi buy kiya hai to http:// hoga. Yani ki agar aapne ek domain name buy kiya hai or domain name buy karne ke bad aapne apne domain name ko upgrade nahi kiya hai to aapko yaha par http:// select karna chahiye. Ab aapko itna to samajh me aa hi gaya hoga ki yaha par http:// select karna hai ya https:// ab rahi baat www. ki to ye aap par depend karta hai ki aap apne blog url ko kaise rakhna chahte ho. Agar aap chahte ho ki aapka blog url www. ke sath open ho to yaha par www. select kar lijiye.
For example – Agar aapne ssl certificate nahi kharida hai or aap apne blog url me www. chahte ho to aapko http://www. select karna hoga.
2. Choose domain – Aap jis domain name par WordPress install karna chahte ho usay select kijiye.
3. In directory – Yaha par by-default wp likha hua hota hai, aapko wp ko remove kar dena hai. In directory option ko khali rehne dijiye.
4. Site Name – Aap jo blog banane wale ho uska naam likhiye.
5. Site description – Apne blog ke bare me short description likhiye.
Note : Aap apne blog ke site name or site description ko bad me bhi change kar sakte ho.
WordPress par login karne ke liye Username or Password ki jarurat hogi, isliye aapko apna username or password set karna hai taki WordPress install hone ke bad aap apne diye gaye Username or Password ke jariye login kar sako.
6. Admin Username – Aap apne WordPress me jis username ke jariye login karna chahte ho usay yaha par likhe.
7. Admin Password – Aapko apne WordPress par login karne ke doran jo password chahiye usay yaha likhe. Aap aise password select kare jisko koi bhi aasani se pata na laga sake.
8. Admin Email – Aap apne jis email id ke jariye apne WordPress blog ko manage karoge usay yaha dale.
NOTE : Aap apne WordPress me apne Admin Username ya fir Admin Email ke jariye bhi login kar sakte ho.
STEP – 5

Sabhi setting complete hone ke bad Install par click kare.
WordPress install hone me 1-2 minute ka samay lagta hai.
WordPress install hone ke bad aap apne WordPress dashboard ko access kar sakte ho, bas aapko apne browser me ja kar emample.com/wp-admin type karke open karna hai. For emample – maan lijiye ki aapne acchibaat.com par WordPress install kiya hai to agar aapko apne WordPress dashboard par jana hai to aapko apne browser me acchibaat.com/wp-admin likh kar open karna hoga.
Aapne WordPress setting karne ke doran jo Username or password set kiya tha usi ko use karke aap apne WordPress dashboard par login kare. Login karte hi aap apne WordPress dashbord par aa jaoge.
To friends ab aapne ye to sikh liye ki web hosting par WordPress kaise install kiya jata hai, lekin WordPress install karne ke bad aapko apne WordPress dashboard ke jariye new post, page, design, theme change, plugin install karna hota hai. Aap reference ke liye niche diye gaye post o bhi jarur read kare taki WordPress use karne ke doran aapko koi problem na ho.
Some important points
WordPress install karne ke bad WordPress ko fully setup hone me 24 hour ka samay lagta hai, agar aapko apne WordPress blog par login karne ke doran koi error show ho raha hai, ya fir bar-bar login problem ho rahi hai to aapko smajh jana chahiye ki aapka WordPress blog fully setup nahi hua hai. Agar technical language me kaha jaye to aapke blog ka DNS propagation abhi puri tarah se complete nahi hua hai isliye login ke doran error show ho rahi hai.
Isliye aapko kam se kam 24 hour tak wait to karna hi chahiye.
To friends aaj ka hamara post aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye or agar aap ko WordPress setup se related koi bhi doubt hai to aap humse puch sakte ho. HAPPY BLOGGING