Blog, blogger or blogging hota kya hai? Full detail in Hindi

Bolog hota kya hai ? Blogging karna kisi kehte hai ? Blogging kisi kehte hai ? in tino question ke answer har us vyakti ko janna hota hai jinhone blogging ke bare ke suna ho. Starting me inke bare me pata hi nahi hota ki ye hai kya ? Lekin blog banane ke bad iske bare me idea ho hi jati hai.

Kya apko yaad hai ki aapne sabse pehle blog ke bare me kaha se pata chala tha ? us samay aap jarur janna chahte hoge ki ye blog, blogging or blogger hota kya hai.. Lekin ab aapko iske bare me puri jankari hogi, lekin hamare kuch bhai aise bhi hai jo apna blog banana chahte hai par unko blog, blogging or blogger ke bare me kuch bhi pata nahi hai.

Aaj ka hamare article us sabhi logo ko dedicated hai jo apna blog banana chahte hai or unko ye janna hai ki ye blog, blogger or blogging hota kya hai ? Agar aapne apna blog already bana liya hai fir bhi hamare is article ko read jarur kare taki kal ko koi aapse iske bare me puche to aap iske bare me unhe acche se samjha sako..

Friends mera manna ye hai ki knowledge share karne se improve hoti hai or knowledge ko apne andar daba ke rakhne me koi samajhdari nahi hai. Isliye me un sabhi logo se request karta hu jinhone apna blog already bana liye hai wo is article ko pura read jarur kare, me 100% ye keh sakta hu ki aakhir me aapko blog, blogger or blogger ke bare me aisi aise jankari milegi jisay aap dusaro ko bhi share kar sakte ho.

Blog, blogger or blogging hota kya hai ? Full detail in Hindi

Blog, blogger or blogging in tino words me hi pura ek writer chipa hua hai. Mera manna ye hai ki agar aap online writer banna chahte ho to in tino words me hi aapka apna talent dikhane ke mauka milta hai. To chaliye inke bare me jante hai..

Blog hota kya hai ?

Aapne kabhi koi dairy maintain ki hai ya fir koi notbook me notes likhi hai agar haan to blog bhi usi daily ya note book ki tarah hoti hai jaha aap apne interest , knowledge or thinking ko likhte ho. Ba fark itna sa hota hai ki

  • aap dairy ko pen ke sahare likhte ho or blog ko typing karke.
  • aap dairy ko offline likhte ho yani ki dairy likhne ke liye internet ki jarurat nahi hoti , par blog ko aap online likhte ho.
  • aap dairy unhi ke sath share karte ho jisay aap jante ho, par blog ko koi bhi internet par read kar sakta hai.
  • dairy likhna or blog likhn ek jaisa hi hota hai. Par dairy ke jairy paisa nahi kamaya ja sakte par blog ke jariye aap paisa kama sakte ho.

Hume dairy ko blog ke sath jodke aapko samjahye hai.. or haan blog ek dairy ke jaisa hi to hai. Ab aap samajh gaye honge ki blog ko basically kiske jaisa kaha jata hai. par hum aapko blog ki history ke bare me bhi bata dete hai ki ye blog word kaha se aaye ?

Blog ek English word WeBlog ka short form hai. WeBlog naam 1997 me Jorn Berger ne diya or 1999 me Merholz ne iska short naam diya Blog , jo itna famous hua ki aaj bhi log Blog ke naam se jaana jata hai.

Blog ka use kya hai ?

Blog k jariye log apni thinking, knowledge or experience share karte hai. Blog ek aisa jariye hai jaha par aap apni information ko puri duniya ke sath share karte hai, logo ke question ka answer dete hai or logo ke sath interact karte hai. Kuch log apna blog logo ki help karne ke liye banate hai, kuch paise kamane ke liye or kuch apne business ko promote karne ke liye.

Jasia ki aap hamare blog ko dekh sakte ho, hum apne is blog me blog ke bare me information deta hai or logo ki help karte hai.

Har blog ka ek naam jarur hota hai , jaisa ki aap hamare blog ko dekh sakte ho ki hamare blog ka naam hai smart2blogging.com.. Agar aap smart2blogging.com google par search karoge to hamara blog open hoga , yani ki hamri dairy open hogi. Blog ko samajhne ka sabse behtar tarika ye hai ki aap jano ki blog dikhta kaisa hai.

Blog dikhne me ek page ki tarah hota hai jo apne andar sabhi information liye rehta hai. Ee blog me basically 4 section hote hai.

  1. Header – Yaha blog ka naam, logo or menu rehta hai. Header blog ki identity hoti hai. Jaise kisi vyakti ka head ko dekh kar hum uski identity bata deta hai waise bhi blog ki identity uske header section me hoti hai.
  2. Main – Ye blog ka content area hota hai. Jo bhi articles blog par likhe jate hai wo yaha show hote hai.
  3. Sidebare – Addition information dene ke liye sidebar use kiya jata hai, jaise – apne social site ka link dene ke liye, popular article ke bare me baane ke liye , blog archives yani content ki full information dene ke liye etc.
  4. Footer – Yaha par blog ke writer ke bare me information or contact details hoti hai.

Aap hamare blog ka look dekh kar andaja lag sakte ho ki ek blog dikhta kaise hai. To friends ab aapko puri tarah clear ho gaya hoga ki blog hota kya hai or ye dikhta kaisa hai..

Agar aap apna blog banan chahte ho to aap sochte hoge ki blog banane ke paise lagta honge, agar aap aisa sochte ho to bilkul galat sochte ho.. Blog banane ke koi paise nahi lagte, ye bilkul free hai aap easily apna khud ka blog bana sakte ho.. Blog kaise banate hai ye janne ke liye ye article read kare – Blog kaise banate hai ?

Blogger kya hota hai ?

Jinhone apna blog banaya hua hai unhe blogger kaha jata hai. Jaise ki smart2blogging.com blog ko maine banaya hai to main ek blogger hu. Lekin sirf blog ko banan hi kafi nahi hai, blog banane ke bad agar aap pane blog par kuch bhi nahi likthe to aap blogger nahi kahlaoge..

Waise bahut se aise log hai jo apna blog to bana lete hai lekin apne blog par kuch bhi article nahi likhte aise logo ko blogger kahna sahi nahi hoga..

Google aako blog banane me help karta hai ya yu kahe ki google aapko blogger banane me aapki madad karta hai, aap blogger.com ke jariye apna khud ka free blog banan sakte ho.. Google apne user ko acche se samajhta hai isliye usne aapko blogger banane ke liye apna khud ka website banaye jiska naam hai blogger.com, aap blogger .com ke jariye blog bana kar blogger ban sakte ho..

Note – Blogger usay kaha jata hai jo blog banata hai or blogger.com ek website hai jaha par aap blog bana sakte ho.

Blogging kya hota hai ?

Jaise painter painting karta hai, driver driving karta hai, writer writing karta hai… Waise hi ek blogger blogging karta hai.. Aapne apna blog banan liye to aap ho gaya blogger , or blogger ka kaam hota hai apne blog ko manage karna jisay blogging kaha jata hai.

Blogging karne ka matlab hota hai –

  • Apne blog ko active rakhna – Hamesa apne blog par kuch na kuch article likhna or publish karte rahna.
  • Article ko update karna – Jo article already publish ho chuke hai usay update karna ye fir edit karna.
  • Apne blog ke look or style ko modify karna taki blog par aane wal readers ko koi paresani na ho..
  • Apne blog par aane wale comment ka reply karna.

Wo sabhi kaam jo blog se related hote hai usay karne ko hi blogging kaha jata hai..

To friends aaj aapne sikha ki blog, blogger or blogging kya hota hai.. Agar aap bhi apne blog banana chahte hai to reference ke liye niche diye gaye article ko jarur read kare …

Hume puri ummid hai ki aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki blog, blogger or blogging hota kya hai or aap apna khud ka blog bhi banana chahte ho .. Agar aapko humse kuch puchna hai to hume comment ke jariye bataye.. HAPPY BLOGGING

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866

1 thought on “Blog, blogger or blogging hota kya hai? Full detail in Hindi”

  1. Bahut accha post likha hai blog kya sitemap hota hai? aur kaise banate hai bhut hi details ke saath information share kiya hai dhwnayawad

Comments are closed.