Kisi bhi blog ya website ki pehchan uske logo se hoti hai. Logo ki blog ko ek unique look or identity deta hai. Agar aap apne blog ko profession blog kel ist me add karma chahte hai to sabse pehle aapko apne blog ka ek logo lagane hota hai. Ye logo aapke blog ke top me display hoti hai.
Har blog ka ek title hota hai jaise hamare blog ka title hai Blogging smartly…
Ye aapke blog ki pehchan hoti hai, par agar aap apne blog ke title ko image ke sath replace kar denge to ya aapke blog ko ek professional look dega. Or blogging me aapki ek unique identity banegi.
Aaj hum janenge ki kaise aap apne blog ke title ko image ke sath replace kar sakte hai..
Blog me title ko image ke sath kaise replace kare ?
Aap niche diye gaye steps ko follow karke apne blog ke title ko image ke sath easily replace kar sakte ho.
Step : 1

1. Apne blogger dashboard par Layout ko click kare
2. Logo (header) section me Edit button par click kare.
Step : 2

Jaise hi aap Edit button par click karenge ek popup window open hoga.
1. Choose File ki jariye apna Image select kare.
2. Instead of title and description option ko select kare.
3. Save button par click kare.
Thats its, aapke blog me title replace hoke image aa jayega.
Aap bhi apne blog ke title ko replace karke ek acchi si image upload kare. Taki aapke blog ki ek alag hi pehchan ban sake.
Happy Blogging
9583450866