Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal

Apne blog ke jariye koi bhi blogger jald se jald earning karna chahta hai or isi wajah se Adsense account approve karwana ke liye apne blog pe lagatar post publish karta rehta hai. Par kya aapko pata hai ki post ko publish karne se pehle kuch baato ka dhyan rakhna behad jaruri hai, taki future me aapko apne post ko modify karne ki problem face na karni pade..

Hota ye hai ki post publish karne ke chakkar me hum apne post ki quality par dhyan nahi dete bas jaise-taise apne post ko publish karna chahte hai. Or isi chakkar me humse kuch aisi galtiya ho jati hai jiski wajah se hamare blog ka SEO or ranking bahut bura ho jata hai..

Agar aapne apne blog par 500 article publish kiye huye hai or unme se sirf 5-10 article hi Google ke top search result me aate hai to baki ke article kisi kaam ke nahi. Haan, ye sahi bhi hai apne blog ke content ko improve karne ke chakkar me aapne apne blog ko bigad diya hai. Aaj hum aapko aise tip batayenge jisay aap apne blog post ko publish karne se pehle follow kare..

Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal..

Agar aapne koi article likhe hai jisay aap publish karne ja rahe ho to sabse pehle kuch baato ka aapko dhyan rakhna hoga taki fir se aapko apne post ko edit na karna pade.

Publish karne se pehle apne post ko cross check kare

Bahut se blogger apne blog post bahut jaldi jaldi likhte hai or likhne ke bad turant usay publish bhi kar dete hai. Maine jab apna pehla blog banaya tha tab me bhi aisa hi karta tha, me sirf apne post count ko improve karne me laga rehte tha. Ek din mujhe commnet aaye ki ” aapki post to acchi hai par aapke post me bahut sare spelling mistake hai “.. Tab mujhe laga ki maine bahut badi galti kar di, jab maine apne blog post ko randomly check kiya to pata chala ki mere sabhi post me spelling mistakes hai..

Me samajh gaya tha ki mujhe fir se apne post ko cross-check karna padega, cross-check karne ke doran maine spelling mistakes sudhari or kuch point jo maine nahi likhe the usay likha.

Friends agar aap bhi aisa kar rahe ho to aap apni habit ko change kare, taki mujhe jo problem face karni padi wo aap na face karo.. Jab bhi aap koi article publish karo usay publish karne se pehle ek bar jarur read kar lo, aisa karne se aap apne post me sabhi spelling mistakes ko sudhar sakte ho sath hi sath aap wo sare point bhi add kar sakte ho jo aap likhna bhool gaye the..

Apne post me ek Image add karo

Kisi bhi blog post ko impressive banane ke liye usme image add karna behad jaruri hai. Apne blog post pe image add karne ka ek fayda ye hai ji jab bhi koi aapke post ko share karta hai to aapke post link ke sath-sath image bhi share hoti hai jiski wajah se aapke post par referral visitors aane ke chances improve ho jate hai..

Bahut se blogger bhai apne blog post me image use hi nahi karte or aise me unka blog post black and white film jaisa lagta hai. Isliye aap apne blog ko impressive banane ke liye usme image jarur add karo.. Or aisa image add karo jo aapke blog post ko represent karta ho.

Lekin Google se image download karke directly apne blog post par nahi lagaye kyonki kuch image me copy writes hote hai or aisa karne par aapke blog ki ranking par asar pad sakte hai. Aap google ke jariye 3-4 image download karo or usay edit karke ek naya image create karo.. Aap dekhe sakte ho ki hum jo bhi image apne blog par use karte hai wo humne Google se hi download kiya hai par hum usay edit karke use karte hai..

Post publish karne se pehle apne blog post par image use karna behad jaruri hai ussay bhi jyada jaruri ye hai ki aap kis jagah par apne blog post image add karte ho.. Aapne bahut se dusare website par dekha hoga ki wo apne blog post ka image article ke top me use kare hai , lekin hamari maane to aapko apne blog post ka image post ke 1st paragraph ke bad use karna chahiye, kyonki aapke blog par jo bhi visitors aate hai wo sirf aapke blog ke content ko read karne ke liye aate hai or agar aap apne 1st paragraph ke bad image use karoge to us image ka impact bahut jyada badh jata hai..

Post publish karne se pehle apne post permalink check kare

Ye SEO ke liye behad jaruri hai ki aapke blog post ka title or uska Permalink same ho. Jaisa ki aap dekh sakte ho ki hamare is article ka tite hai Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal.. or Iska permalink bhi same hai, aap niche diye gaye image ke jariye isay samjhe..

Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal

Agar aap WordPress me apna blog banaye huye hai to post publish karne ke bad bhi kuch plugins ki help se aap apne post ke permalink ko change kar sakte ho, lekin agar aapne apne blog blogger.com me banaya hai to ek bar post publish hone ke bad aap permalink ko change nahi kar sakte.. Agar aap apne publish huye post ke permalink ko edit karna chahte ho to uske liye ek trick hai , aap niche diye post ko read karke apne post permalink ko edit kar sakte ho..

Isliye post ko publish karne se pehle uske permalink ko jarur dekh le ki wo aapke post title se match kar raha hai ya nahi..

Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal

Blogger blog me permalink edit karne ka option right side me hote hai, agar aapke post ka title permalink se match nahi ho raha hai to apko isay manually edit karna padega.. Permalink ko edit karne ke liye Permalink par click kare..

Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal

Iske bad aap Custom Permalink select karke apne Permalink ko edit kar sakte hai.. Lekin ek baat dhyan me rakhiye ki ek bar post publish hone ke bad aap apne permalink ko edit nahi kar sakte..

Related post ke link add kare

Aap ek hi post me sabhi information ki jankari nahi de sakte, iske liye aapko apne dusare post ke link ko apne post me add karna hota hai. Maan lijiye ki aap SEO karne ke fayde topic par article likh rahe ho to aap apne post ke andar On-page seo ki jankari, off page seo kya hai .. Jise bahut se topic ka link add kar sakte ho taki jo visitor aapke post ko read kare wo aapke dusare post ko bhi read karne ke liye inspire ho..

Aisa karne par aapke blog par aane wale vistiors aapke dusare related article ko read karne ke liye motivate honge.. or aapke blog ka bounce rate improve hoge..

Par ek sawal dimag me aata hai ki kya link add karna jaruri hai ? Related post widget ki help se bhi to aisa kiya ja sakta hai.. To me yaha ye kahna chahta hu ki aapke blog par kya sabhi visitors aapke post ko pura read karte hai ? Nahi, maximum aise visitors hota hai jo post ko pura read hi nahi karte .. Aise me agar aap apne post ke biche me dusare post ka link daloge to chances badh jayenge ki koi bhi visitor aapke dusare article ko bhi read karega..

To friends aap apne post ko publish karne se pehle apne dusare post ka link bhi apne post me jarur add kare..

Apne post me thanks giving jarur add kare

Aise bahut hi kam blog internet pe milte hai jo apne blog par aane wale visitors ke sath interact karte honge.. Aapne bhi aise article read kiya honge jiska ek dead end hota hai, matlab ki article end hone par koi thanks giving or visitors ke sath interaction nahi..

Agar aap hamare blog ke kisi bhi article ko read karoge to aapko pata chalega ki hum apne post ke end me apne visitors ke sath interact karte or unse baat karte hai, ki agar aapke hamari post acchi lagi to like, share jarur kare etc etc .. Aisa karne par aapke or aapke blog par aane wale visitors ke bich me ek bonding create hoti hai..

Aapne apna blog to khud ke liye to nahi banaye na, kya aap apne liye blogging karte ho? Aisa nahi hai, kisi bhi blog ko success hone ke liye visitors ki jarurat hoti hai or agar aap apne visitos ke sath ek relationship create kar lete ho to aapke blog ko success hone me samay nahi lagega.

Isliye post ko publish karne se pehle apne post ke jariye apne visitors ke sath interact jarur kare..

CONCLUSION

To friends ye thi kuch main or important baatain jaisay aapko apne post ko publish karne se pehle karni chahiye.. In short aapko ye steps follow karne honge..

STEP 1 – Article likhe
STEP 2 – Article ko cross check kare
STEP 3 – Article ke 1st paragraph ke bad image add kare.
STEP 4 – Article me related links add kare.
STEP 5 – Visitors ke sath interact karne ke liye thanks giving section add kare.
STEP 6 – Permalink check kare.
STEP 7 – Apne article ko publish kare.

To friends aaj ka hamara ye post aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye, agar aap apna kuch point is article me add karna chahte ho usay bhi comment ke jariye jarur bataye. Hume ummid hai ki aap koi bhi article publish karne se pehle in baato ka dhyan jarur rakhoge or apne or apne blog visitors ke bich ek strong bonding banaoge. HAPPY BLOGGING

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866

14 thoughts on “Blog post publish karne se pehle rakhe kuch baato ka khayal”

  1. Hamara Adsense account already approved ho gaya hai, but hum apne blog par Adsense Ad use nahi karte. Sayad future me aapko hamare blog par Adsense ad najar aa jaye..

  2. Sir kya ap bata sakte ho ki adsense ke apply karne se pehle blog par kitne post hone chahiye.. Pl reply

  3. Sir kya blog post link ko edit kar sakte hai ? kyonki post publish karne ke bad uska link sahi se set nahi hota.. Pl bataye

  4. Adsense me apply akarne se pehle blog pe kitne content hai ye mayne nahi rakhte.. Agar aapke blog par bahut acchi traffic hai around 500 visitors per day or aapke blog pe quality content hai to aap Adsense ke liye apply kar sakte ho.

  5. Agar aapne apna blog wordpress me banaya hai to aap apne post ka url plugin ki help se kabhi bhi change kar sakte ho, lekin agar aapne apna blog blogger me banaya hai to apne post ka url usay publish karne se pehle hi edit kar sakte ho.. Isliye jab bhi aap koi post publish kare ussay pehle apna permalink jarur check kar le.

  6. Sir मैं पोस्ट और पोस्ट टाइटल हिंदी में लिखता हूँ। अभी ब्लॉगर ब्लॉग (निजी) रखा है। बात परमालिंक की है जैसे एक पोस्ट टाइटल (मासिकस्राव का रुक जाना (रज:रोध) Amenorrhea) ये है .. इसमें हिंदी अक्षर नहीं आ सकते तो इस लिंक को एडिट कैसे करें ?

    1. Blogger permalink me Hindi support nahi karta hai aap pane permalink ko HInglish me likhe yani ki मासिकस्राव का रुक जाना ki jagah par masikshraw-ka-ruk-jaana likhiye..

Comments are closed.