Blogger blog ka password kaise change kare?

Aaj ka post kuch logo ko silly post lagta hoga kyun ki aaj hum aapko batane wale hai ki Blogger blog ka password kaise change kiya jata hai? Bahut se log jo blogging karte hai wo apna first blog blogger.com par hi banate hai or unhe ye to pata hota hai ki Blogger me blog banane ke liye gmail id or password ki jarurat hoti hai, lekin unhe ye nahi pata hota ki apne blog ka password kaise change kiya jaye.

Aisa isliye hai kyunki blogger.com me password change karne ka option hi nahi hota. Maan lijiye ki aapne apne blog ka password kisi ke sath share kiya hai to aap jarur chahte hoge ki apne blog ka password change kare, lekin jaisa ki maine aapko bataye ki blogger.com me password change karne ka hi option nahi hai. Ab aap kya karoge?

Tension lene ki jarurat nahi kyun ki aaj hum aapko isi ke bare me batane wale hai, taki aap clearly samajh sako ki blogger blog ka password kaise change kiya jata hai.

Blogger blog ka password kaise change kare?

Friends jab aapne apna blog banaye tha to aapne kya kiya tha? Matlab ki jab aapne apne blogger blog banaye tha to aapko sabse pehle kis chij ki jarurat thi.

Blogger.com me apna blog banane ke liye gmail id or password ki jarurat hoti hai, iska matlab ye hai ki agar aapke pass gmail id or password hai to aap apna blog blogger.com pe bana sakte ho. Or agar aapko apne blog password change karna hai to aapko apna gmail password change karna hoga.

For example – Google bahut si service provide karta hai jaise- Gmail, YouTube, Blogger, Drive etc. Or agar aapko google ka koi sa bhi service use karna hai to aapko gmail id or password ki jarurat hogi. Agar aap apne gmail password ko change karte ho google ke service ka password bhi change ho jayega.

Yani ki agar aapko apne blog ka password change karna hai to sirf aapko apne gmail ka password change karna hoga. To chaliye aapko batate hai ki kaise apne gmail ka password change kiya jata hai.

STEP – 1

https://myaccount.google.com/intro/signinoptions/password website me jaye or apne gmail id or password ke jariye login kare.

Blogger blog ka password kaise change kare?

1. Login karne ke bad aapko apna new password dalna hai.
2. Aapne jo new password dala hai usay fir se type kare.
3. CHANGE PASSWORD par click kare.

Bas itna karte hi aapke gmail password change ho jayega or sath me aapke blog ka password bhi change ho jayega.

Friends blogger blog ka password change karna thoda confusing lagta hai, lekin agar aap apne gmail ka password change karte ho to automatically aapke blog ka password bhi change ho jata hai.

Agar aapko blogging se relate koi bhi information chahiye to hamare blogging category ko jarur read kare or agar aap humse kuch puchna chahte ho to hume comment jarur kare taki hum aapki sabhi blogging related problems solve kar sake. HAPPY BLOGGING

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866

4 thoughts on “Blogger blog ka password kaise change kare?”

  1. विजय पल

    Bhai ye article bahut hi accha or helpful
    But
    Aajkal har koi aisa vyakti hai jo password change krna janta hai bhai

    Gusaa mat hona bhai
    Thanks

    1. Isme gussa hone wali kya baat hai.. agar kisi ko password change nahi karna aata to unke liye ye post hai.

  2. bhai blogger me mera blog account hai but mera koe bhi blog serch me nhi aata hai kya kru plzz help me bhai kya aap mera help karoge ??

Comments are closed.