Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari Hindi me.. Agar aap ek blogger ho to aapko pata hoga ki ek blog ke liye uska navigation system kitna important hota hai. Blog ke navigation ko improve karne ke liye hum usme menu add karte hai, popular post widget add karte hai or important links add karte hai.. Lekin in sabhi me se sabse jyada important hota hai category widget.

Category widget aapke blog ke content ko category wise divide karta hai. Aapko pata hi hoga ki jab bhi aap koi article publish karte ho to us article ka aap ek level select karte ho jo ki ek category ko focus karta hai. Agar aapne ek label craeate kiya hua hai jiska naam SEO hai to aapke SEO level me sirf SEO ke article hi honge.

Category widget aapke blog par aane wale visitors ko apne pasand ki category read karne ka mauka deti hai jissay visitors apne interested category se related article bahut easily navigate kar sakte hai.

Har blog me category widget hona hi chahiye , agar aap apne visitors ko ek clear or simple navigation dena chahte ho to aapko bhi apne blog par category widget lagani hogi.. Ab aapko ye to clear ho gaya ki ek blog ke liye category widget kitni jaruri hoti hai Or isliye aaj hum aapko batayenge ki Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari Hindi me…

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

Blog me category widget lagana bahut hi aasan hai , aap niche ke steps follow kare or apne blog par category widget lagaye..

STEP – 1

1. Sabse pehle blogger.com me jaye or login kare.
2. Blogger dashboard pe Layout par click kare.
3. Ab aapko jaha par category widget lagana hai waha par Add a Gadget par click kare.
4. Add a Gadget par click karte hi ek popup window open hoga waha par aapko Labels par click karna hai.

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

STEP – 2

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

1. Yaha aapko apne category widget ka title dalna hai. Jaisa hi aap category widget add kar rahe hi isliye yaha Category likhiye.
2. Agar aap apne blog ke har Labels ko dikhana chahte ho to All Labels ko select kijiye.
3. Agar aap apne blog par Selected Labels ko dikhana chahte ho to Selected Labels ko select kijiye.

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari
  1. Selected Labels ko select kijiye.
  2. Edit par click kijiye.
  3. Ab aapko jo lavels apne category widget me dalna hai usay select kare.
  4. Select karne ke bad Done par click kare.

4. Agar aap Alphabetically select karte ho aapke blog me jitne bhi levels hai wo alphabetically show honge.

5. Agar aap By frequency select karte ho to jis labels me sabse jyada post honge wo sabse upar display hoga.

6. List select karne par Labels list wise show honge.

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

7. Cloud select karte ho to labels horizontally show honge.

Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

8. Agar aap show number of post per label select karte ho to level ke bagal me post count show honge.

9. Sabhi setting hone ke bad Save par click kare. Save par click karte hi aapka Category widget create ho jayega, ab aap apne blog ko navigate kare dekhe..

Friends aap bhi apne blog par category widget lagaya or apne blog par aane wale visitors ko ek simple or smart navigation experience de. Agar aapko hamare ye article helpful laga to comment ke jariye hume jarur bataye. HAPPY BLOGGING

अगर आपको blogging सीखना हो या आप हमसे High quality, Impressive और SEO friendly आर्टिकल लिखवाना चाहते हो तो आप हमसे संपर्क कर सकते हो. ज्यादा जानकारी के लिए नीचे दिए गए whatsapp नंबर पे संपर्क करें.

हमारी अन्य सेवाएं

  1. Adsense approved करवाना
  2. Wordpress setup
  3. Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
  4. किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
  5. Android App बनाना
हमारा whatsapp नंबर है : 9583450866

Ravi Saw

नमस्कार दोस्तों, अच्छीबात आप सभी के मार्गदर्सन के लिए बनाया गया है. यहाँ जीवन और टेक्नोलॉजी से जुड़ी वो सभी चीजों पर प्रकाश डालने की कोशिश की जाती है जो जीवन को सरल बनाने में लाभकारी है. आपका प्यार ही हमें हर दिन कुछ नई जानकारी प्रकाशित करने की प्रेरणा देता है. धन्यवाद

This Post Has 2 Comments

  1. Satyam Patel

    Hi BRO Mujhe Latest Updated Post Ko Home Page ke Top Par Show Karvana hai? maine kai saari Function Use ki hai lekin Work nhi kar rha hai kya aap meri esme help kar skate hai????

    1. Ravi Saw

      Aap aisa kar sakte ho, jab aap apne post ko update kare tab uska publish date recent wala dal dijiye.. aisa karte hi aapne jo post update kiya hai wo home page ke top me show hogi.

Leave a Reply