Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare? Hello friends aaj hum aapko batane wale hai ki JavaScript blogger blog me kaise add kiya jata hai. Jo log blogging me naye naye aaye hai unhe JavaScript ke bare me pata nahi hota hai, or wo sochte hai ki ye JavaScript hai kya or kaise isay apne blog me add kiya jata hai. To friends ab aapko jyada sochne ki jarurat nahi hai kyunki aaj hum aapko JavaScript ke bare me hi batane wale hai.

JavaScript kisi bhi blog me extra features add karne ke liye use kiya jata hai, ye ek tarah ki programming hoti hai jisay hum apne blog me add karke apne blog ke design or look ko change kar sakte hai.

Aapko internet par aise bhut se blogger widget mil jayenge jisay aap add karke apne blog ke design ko improve kar sakte ho. Man lijiye ki aapko apne blog me kuch animation add karna ho, facebook like box lagane hog ye fir subscription form lagana ho to aapko apne blog me JavaScript add karna hota hai.

Ab aap sochte hoge ki JavaScript to hum apne blog me add kar lenge lekin kon sa JavaScript add karna hai or JavaScript code kaha se milega.. To friends sabse pehle aapko me wo method samjha deta hu jissay aapko ek chij clear ho jayegi ki blog me JavaScript kaise add kiya jata hai , taki aapke mind me ek chij clear ho jaye ki JavaScript kaise aapko use karna hai, or jab tak aap JavaScript lagane ke bare me nahi jaan lete tab tak aap samajh nahi paoge ki JavaScript kaise istemal kiya jata hai..

To chaliye jante hai wo tarike jisay use kare aap apne blog me JavaScript add kar sakte ho..

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

Waise to aapko apne blog me bahut se widget mil jata hai lekin agar aap apne blog me aise widget ko add karna chahte ho jo blogger me available nahi hai to aapko JavaScript add karna hota hai. Maan lijiye ki aapko apne blog ke sidebar ya fir footer me Facebook Like box add karna hai to aapko apne blog layout me jakar JavaScript add karna hoga, kyunki blogger me facebook widget available nahi hai.. Chahiye aapko ek example ke jariye samjhate hai..

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

Maan lijiye ki aapko apne blog ke sidebar me ek widget add karna hai to aap sabse pehle Layout par click karoge fir uske bad Sidebar section me +Add a Gadget par click karoge..

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

+Add a Gadget par click karne ke bad aapko apne blog me bahut se function add karne ke option najar aate hai, agar aap apne blog layout me Feature post add karna chahte to usay select kar sakte ho ya fir labels add karna chahte ho to usay bhi select kar sakte ho.. Lekin agar aapko apne blog layout me kuch aisa function add karna hai jo blogger.com me available hi nahi to aise me Blogger aapko JavaScript add karne ka option bhi deta hai. Bas aapko HTML/JavaScript ko select karna hai.

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

To friends aapko ye to clearly pata chal gaya hoga ki agar hume apne blog layout me koi external ya new function add karna hai to hume Layout>>+ Add a Gadget >> HTML/JavaScript me jana hoga.

Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?

HTML/JavaScript par click karte hi aapko ek form najar aayega.

1. Agar aap apne JavaScript me title add karna chahte ho to Title box me aap kuch likh sakte ho.. Maan lijiye ki aap pane blog me Random Post add karne wale ho to aapko Title me Random post likhna hoga.

2. Apne JavaScript code ko content box me paste kare.

3. Save par click kare.

Bas itna karte hi aap apne blog me JavaScript add kar sakte ho.. Ab aate hai hum apne main question pe ki ab hume to apne blog me JavaScript to add karna sikh liye lekin ab ye JavaScript code kaha se laye?

To iske liye sabse pehle aapko ye decide karna hoga ki aapko apne blog me kon sa new function add karna chahte ho , or usi ke hisab se aap Google me search karo.. For example – agar aap apne blog me Facebook Popup like box add karna chahte ho to sabse pehle aapko Google pe isay search karna hoga…

Aise hi aap apne blog me JavaScript add kar sakte ho.. Friends JavaScript aapke blog me new features add karne ke liye diye jata hai jiske help se aap apne blog me extra features or functions add kar sakte ho..

Agar aap apne blog me new function add karna chahte ho to aap hamare Blogger Widget category ko jarur read kare , ya fir niche diye gaye widget ko bhi apne blog me add kar sakte ho..

Friends aapko aaj ka hamara article kaisa laga hume jarur bataye or agar apko blogging se related koi sawal puchna hai to aap hume comment kar sakte hai. HAPPY BLOGGING

अगर आप हमसे High quality, Impressive और SEO friendly आर्टिकल लिखवाना चाहते हो तो आप हमसे संपर्क कर सकते हो. ज्यादा जानकारी के लिए नीचे दिए गए whatsapp नंबर पे संपर्क करें.

हमारी अन्य सेवाएं

  1. Adsense approved करवाना
  2. Wordpress setup
  3. Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
  4. किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
  5. Android App बनाना
हमारा whatsapp नंबर है : 9583450866

3 thoughts on “Blogger Blog Me JavaScript Kaise Add Kare?”

Comments are closed.

Scroll to Top