Blogger Post Ka Label Kaise Change Or remove kare

Blogger Post Ka Label Kaise Change Or remove kare. Agar aapne apna blog blogger me banaya hai to aapko bhi ye problem face karni hoti hogi ki kisi post ka label by-mistakenly galat select ho jata hai or hum sochte hai ki kaise us label ko change kare.

Blog post ko categories karne ke liye hum label ka use karte hai. Har label apne andar collection or related post liye hota hai. Agar galti se aapne kisi post ka label galat choose kar liye hai to aap sochte honge ki ab kaise iska label change kiya jaye.

Bahut bar aisa hota hai ki label ko change karne ke chakkar me log apne post ko delete karke republish karte hai. Lekin label change karne ke liye aapko apne post ko delete karke fir se republish karne ki jarurat nahi aap easily apne blog post ka label change kar sakte ho. Aaj hum aapko batayenge ki Blogger Post Ka Label Kaise Change kare or galti se agar aapne aisa label select kar liya hai jisme spelling mistake hai to kaise label ko remove kare. To chaliye jante hai..

Blogger Post Ka Label Kaise Change Or remove kare

Blog post ke label ko change ya fir emove karne ke liye aapko niche diye gaye steps ko follow karne honge.

STEP – 1

Sabse pehle aap apne blogger dashboard me jaye or All Posts par click kare. Yaha aapko apne blog ke sabhi post title dikhai denge or thik post title ke bagal me post label bhi najar aayega.

STEP – 2

Maan lete hai ki aapne apne blog me ek post publish kiya hai jiska title hai What is SEO or jiska label hai Plugins, ab aapko apne post ka label change karna hai.

To sabse pehle us post ko select kijiye or label icon par click ijiye. Aap niche diye gaye image ko follow kare.

STEP – 3

Label icon par click karne ke bad aapko wo label select karna hai jo aap apne post ko dena chahte ho agar aap chaho to New label par click karke bhi ek laya label create kar sakte ho.. Bas label select karne ke bad aapke post me label add ko jayega. Aap nice diye gaye image dekh sakte hai ki mera jo post hai uska label jo maine select kiya tha wo add ho gaya hai.

Lekin is post ke 2 label hai Plugins or SEO.. Ab mujhe is post me se ek label remove karna hai..

Label remove karne ke liye post ko select kijiye , Label icon me jaiye or jis label ko remove karna hai usay select kijiye. jaisa ki me apne post ka jo label hai plugins usay remove karna chahta hu to sabse pehle us post ko select karunga fir label icon par click karunge or Plugins select karunga.. Aap niche ke image ko follow kare or samjhe..

Aisa karte hi aapke post ka label remove ho jayega.

NOTE : Label add or remove karne ke liye bas aapko apne post select karna hai or label icon me jakar label select karna hai jisay aap add ya remove karna chahte ho. Aap ek sath multiple post ka label add or remove kar sakte ho, bas aapko us sabhi post ko select karna hoga jiska label aap add ya remove karna chahte ho.

Agar aap ek label ko pura delete karna chahte ho to wo sabh post ko select kijiye jisme wo label hai or sabhi me se wo label remove kar dijiye.

Friends aaj ka hamara article Blogger Post Ka Label Kaise Change Or remove kare aap ko kaisa laga hume jarura bataya. Agar aapko humse kuch uchna hai to aap comment ke jariye puch sakte hai. HAPPY BLOGGING

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866

4 thoughts on “Blogger Post Ka Label Kaise Change Or remove kare”

Comments are closed.