Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare?

Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare? Hello bloggers kaise ho aap sab, mujhe puri ummid hai ki aap apne blog pe regular post publish or update karte hoge or hamesa yahi kosis karte hoge ki aapke blog pe jyada se jyada traffic aaye.

Blog traffic improve karne ke liye hum bahut se tarike aajmate hai or at last hota yahi hai ki blog ke kuch post hi search engine par accha perform karte hai or unhi post me sabse jyada traffic bhi aati hai.

Maan lijiye ki aap daily ek new post publish karte ho to aapke recent post blog me sabse top me show hota hai or old post uske bad. Matlab ki blog me jitne bhi post hote hai wo publish date wise show hote hai.

Lekin kabhi aapne socha hai ki agar old post ko blog ke home page me show karna ho to kya kare?

Aapke mind me bhi ye sawal jarur aata hoga, or aap jarur chahte hoge ki aapke blog me jo post sabse accha perform kar raha hai wo blog ke home page pe show ho.. Aaj hum aapko isi ki jankari dene wale hai or aaj aap janoge ki kaise old blog post ke publish date change karke hum usay apne blog home page par show kar sakte hai.

Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare?

Jisa kia maine kaha ki blog me jitne bhi hum post publish karte hai wo publish date wise sequesce me show hote hai, or agar hume apne blog ke old post ko home page me show karna hai to hume us old post ka publish date ko change karna hoga. Toc haliye aapko batate hai ki post ki publish date ko kaise change kiya jata hai.

STEP – 1

Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare?

Jis poat ka apako publish date change karna hai us par click kare.

STEP – 2

Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare?

1. Published on par click kare.
2. Set date and time select kare.
3. Date select kare.

Itna karne ke bad post ko update kare.

Bas itna karte hi aapke old post publish date change ho jayega or wo home page par show hone lagega. Friends hum ane old post ki publish date ko change karke usay apne blog ke home page me show karwa sakte hai, issay hamare old post visitors ko new post jaisa hi lagega or usme traffic aane ke changes bhi imporve honge.

Friends aaj ka hamara post Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare? aapko kaisa laga hume commnet ke jariye jarur bataye or agar aap humse blogging se related tips or trick janna chahte hai to hamare blogging category ko jarur read kare. HAPPY BLOGGING

4 thoughts on “Blogger Post Me Publish Date Kaise Change Kare?”

  1. सर,आप की ब्लॉग knowledge बहुत ही अच्छी है अबतक मेरे ब्लॉग के जो problems थे वो आपके आर्टिकल्स को read करके और कुछ प्रॉब्लेम्स comment box के माध्यम से आपणे solve किए

    Sorry सर but आज एक और प्रॉब्लेम मैं कंमेंट बॉक्स में लिख रहा हूं I hope आप जरूर solve करोगे

    Fetch as google में मेरे ब्लॉग पे Redirect दिखा रहा है,सर मैं ब्लॉगिंग में beginners हूं .
    Redirect means क्या होता है
    Plz help

    1. 1. Thanks Vinoj ji for your valuable feedback..
      2. Jab aap Fetch as google me apne blog post link add karte ho to aapko apne post ka permalink add karna hota hai.. Maan lijiye ki aapke ek post ka link hai https://aaiyesamje.blogspot.com/2018/08/post1.html to aapko Fetch ad google me sirf 2018/08/post1.html likhna hai.. Agar link add karne me koi mistake hoti hai to Redirect error show hota hai.
      3. Redirect ka matlab hota hai ki ek url se dusare url par jana, agar apne fetch by google par aise url likha hai jo hai hi nahi to redirect error show hoti hai.

Comments are closed.

Scroll to Top