Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi… Ek blog ko professional look dene ke liye aapko apne blog template ko design karna hota hai. Agar aap apne blog par free template use karte ho to aapko pata hoga ki aapne blog ke footer me theme ke creator ka naam hote hai.. Agar aap isay remove karne ki kosis karte ho ya fir modify karne ki kosis karte ho to aapka blog redirect ho jata hai blog ke theme creator ke page par..

Agar aapko bhi aisi problem face karni pad rahai hai or aap apne blog template se footer credit ka option ko remove karna chahte ho to aaj ka hamara article aapke liye bhaut helpful hoga.

Ye to clear hai ki aap apne blog ke footer credit ko remove ya modify nahi kar sakte.. Agar aap aisa karoge to aapke blog par aane wale visitors aapke blog se redirect ho jayenge aapke theme owner ke page page. Matlab ki jo bhi visitor aapke blog par aayenge wo aapke blog ke jariye directly theme ke website par chale jayenge.

Waise bhi aapne free theme usi kiya hua hai isliye aap Footer Credit ko remove ya modify nahi kar sakte. Footer credit ko remove karne ek tarike hai ki aap theme ko purchase karo. Lekin theme ko purchase karne ke bad agar aapko apne theme ko change karna pada to fir se wahi footer credit ka option najar aane lagega or aapko isay hatane ke liye fir se theme purchase karna padega..

Ek tarika hai jiski help se aap apne footer credit ko hide kar sakte ho. Agar footer credit hide ho jayega to wo kisi ko visible nahi hoga or aapka blog bhi ek professional blog ki tarah najar aayega. To chaliye aapko batate hai ki kaise aap apne footer credit ko hide kare.

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Jaise ki aap upar image me dekh sakte ho ki maine apne blog par TemplatesYard ka template use karte hu jo ki footer me visible hai. Ab main chahta hu ki isay hide kar du.. To sabse pehle mujhe isko apne blog ke HTML code me search karna hoga..

To chaliye isay apne Blog HTML par search karte hai.

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Ab apne Blog theme me Footer Credit text search karne ke liye hume apne Blog HTML me jana hoga. Isliye Sabse phele Theme par click kare or fir Edit HTML par click kare.

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Edit HTML par click karte hi aapko apne blog ka HTML code najar aayega. Aapko apne HTML code par kahi par bhi click karna hai or Ctrl+f button dabana hai. Aisa karte hi ek search box visible hoga jaha aapko apne Footer Credit text search karne hoga.

Jisa ki maine aapko bataya ki mere blog ke footer me Crafted With By TemplateYard ka text visible hota hai.. Ab mujhe isay HTML Code par search karna hai, lekin agar me is text ko pura search karunge to mujhe search result me kuch bhi najar nahi aayega, Isliye mujhe sirf is text ke pehle do words ko HTML code me search karna hoga.

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Matlab ki Crafted With By TemplateYard ke bajaye me sirf Crafted With hi HTML code me search karunga.. Aap bhi apne blog ke footer text me jo bhi likha hai uske pehle do word hi HTML code me search kare.

To chaliye ab me Crafted With ko HTML code me search karta hu..

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Crafted With search karne ke bad mujhe HTML code me wo section najay aaya jaha par Footer Text hai.. Ab mujhe is section ko hide karna hai.. Or aisa karne ke liye ek code ko add karna hoga.. Aap niche diye gaye image ko samjhe or follow kare.

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Aap upar diye gaye image ko follow kare. Humne Crafted With text search kiya tha uske upar jo sabse pehle </div> code hai thik uske niche wale code me hume style=’display:none’ code ko add karna hai..

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Bas aapko </div> code ke niche diye gaye code me space dekar style=’display:none’ dalna hai.

style='display:none'

style=’display:none’ dalne ke bad ye code kuch aisa najar aayega..

Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi

Bas aapko itna hi karna hai.. Iske bad Save Theme par click kare.. Ab apne blog me jake check kare.. Agar Footer credit hide ho gaya hai to congratulation.. Lekin agar hide nahi hua hai to aapko hamare guide ko acche se follow karne hoga.. Par fir bhi agar aapke blog se footer credit hide nahi ho raha hai to aap hume comment ke jariye bataye or apne blog ka url de taki hum aapke blog visit karke check kar sake ki kya problem hai…

Friends hum apne blog ko professional look dene ke liye footer credit remove hi karna hoga taki aapka blog me unwanted link show na ho.. Friends agar aapko humari ye tutorial acchi lagi or aaj aapko kuch naya sikhne ko mila to humse comment ke jariye jarur bataye.. HAPPY BLOGGING

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866

14 thoughts on “Blogger Template se Footer Credit Kaise Remove kare, smart Tips in Hindi”

  1. sir mere blog me domine ke allava kya kmi hai vo btaye domain ek do din me add kr dunga or adsenne approval ke liye bej du kya.

  2. Bhai kya koi v youtube video me jo bol raha h usko blog ka content ki hisab se likh sakte hain

Comments are closed.