Blogging karna hai to aapko apne blog ke prati puri dedication dikhani hoti hai. Aapko aise bahut se blogger mil jayenge jo apne blog ke design me hi uljhe rehte hai or bahut kam apne post quality ke upar dhyan dete hai. Lekin aisa karne se aapka blog ka look to accha dikhega par aapke blog me jo content hai wo utna impressive nahi rehaga.. Aaj hum aise hi 5 mistakes ke bare me batane ja rahe hai jo har ek newbie blogger karta hai, or aise galtiyo se bach kar hum apne blog ko bahut jald successful bana sakte hai.
Me hamesa kahta hu or aaj bhi yahi kahunga ki blogging karna utna difficult nahi par hamari thinking usay itna difficult bana deti hai ki blogging karna impossible sa lagne lagta hai. Aise hi kuch main mistake ke bare me aap jonoge, jo aap karte to ho par aapko pata nahi hai ki iska impact aapke blog par kaisa rahega.. To chaliye aapko bata dete hai..
Blogging me ye 5 mistake kabhi na kare
1. Blog ke design me hi time barbad karna
Agar aapne naya-naya blog create kiya hua hai to aapko apne blog ke design par jyada time spend nahi karna chahiye. Kyonki agar aapke blog me kuch content hi na ho to aap usay kaise design kar sakte ho. Ye ek bahut badi mistake hai jo har ek new blogger apne blog ke sath karta hai.
Apne blog ke look ko change karne ke liye bar-bar uska theme change karna, widget ka location change karna or color change karne me apna time spend na kare. kyonki jab aap aisa karte ho to aapke blog ka look change hota hai or bar-bar aisa karne par aapke blog ka uniqueness chala jata hai. Ek blog ko success banane ke liye uska unique hona bahut jaruri hai. Kyonki aapke blog ki pehchan uske look se hi hoti hai.
Maine aise bahut se blogger ko janta hu ki wo apne blog ke design se dukhi rehte hai or jiski wajah se wo apne blog ke look ko lekar hamesa tension me rehte hai, aisi situation me log apne blog par post kaise publish kar sakte hai.
Blogging ek aisa platform hai jaha aapko apne experience share karne ka or thinking express karne ka mauka milta hai. Agar aap bhi apne blog ke look se satisfy hai to aap apne blogging content me bahut hi acche se dhyan de sakte ho. Isliye apne blog ke look se satisfy hona behad jaruri hai, aapko main focus apne blog ke content ke upar karna chahiye.
Blog ko design karne se pehle aapko apne blog me kam se kam 10 post publish karna hoga, taki jab aap apne blog ko design karo to aapko clearly pata chal sake ki aapka blog dikhne me kaisa hai.
2. Copy Paste karna
Jo log apne blog par dusare website ka content copy karke publish karte hai unhe blogging se quit kar lena chahiye, kyonki aisa karke aap apna time barbad kar rahe ho. Kisi dusare ke experience or thinking ko copy karke aap apne blog par publish nahi kar sakte.
Bahut se aise blogger hai jo khud se promise karte hai ki blogging me dedicated rahenge or wo khud se apna article bhi publish karte hai, par kuch samay bad unke blog se koi response nahi milta hai to wo dukhi ho jate hai or khud se kuch article likhne ki bajaye kisi dusare website ka article copy karke apne blog par publish karne lagte hai.
Copy paste karne ka matlab hota hai chori karna. Agar aap kisi ka content chori kar rahe ho to aap bahut badi mistake kar rahe ho..
Jab bhi mujhe kisi topic par article likhna hota hai to sabse pehle me usay google per search karta hu or articles ko read karta hu, tab mujhe lagta hai ki main apne article ko issay behtar likh sakta hu or tabhi me kisi topic par article likhta hu.. Khud me self confident honi bahut jaruri hai jo aapko hamesa dusari se behtar banati hai.
3. Jaldbaji karna
Ek blog ko thik se run hone ke liye kam se kam 6 mahine ka samay lagta hai par sart ye hai ki aapke blog ka content kaisa hai. Aapko pehle hi din se acche response nahi milenge, isme thoda time jarur lagega par jaise-jaise time bitata jayenga aapko khud pata chal jayega ki aapka blog logo ke bich kaisa perform kar raha hai.
Par mujhe dukh ke sath kehna pad raha hi ki aise bhi blogger hai jo raato-raat apne blog ko famous karna chahte hai, jo ki impossible hai or sabse badi mistake bhi hai. Ye mistake ki aapka blog jald-se-jald accha perform karge aapko blogging me nirasa dilata hai.
Blogging me success hone ke liye aapko apne blog me quality time dene hote hai taki aap quality article publish kar sako. Par apne blog ko jald-se-jald acche response na milne par log dukhi ho jate hai jo ki ek mistake hi hai.
- Blog pe quality article kaise likhe ?
- 8 aisi galtiya jo blogger karte hai or blogging me fail ho jata hai
4. Passion ka na hona
Blogging ko sikhne me kuch samay lagta hai par agar aapko article likhne ka passion hai to aap isay bahut hi aasan ise sikh sakte ho.. Lekin aaj ke time me log sirf dusare blog se inspire hoke apna blog bana rahe hai, blog banane ke bad unhe ye pata hi nahi hota ki kis topic par article publish kare.
Blogging karna or article likhne ke liye ek passion ki jarurat hoti hai, inspiration ke chakkar me aapne blog bana liya par aapko writing ka passion nahi hai to aap koi bhi accha article publish nahi kar sakte.
Maximum blogger isi wajah se apne blog ko discontinue kar dete hai kyonki unke andar wo passion hota hi nahi hai. Ye bhi ek mistake hai, passion ka na hona ek blog ko dustbin bana deta hai jo kisi kaam ka nahi.
Agar aapke pas ek jajba hai kuch kar-gujarne ka to aap blogging me apni thinking or experience bahut acche se express kar sakte ho. Par agar aap aisa nahi kar sakte to blogging aapko nahi karni chahiye.
5. Dusare blog se apne blog ko compare karna
Har blogger apne blog ko apne competitor blog se compare karta hai, jo ki sahi bhi hai . Aisa karna par aapko ek idea mil jata hai ki aapke competitor blog me aise kon-kon se content hai jiski wajah se wo top me hai. Agar aap isay positively loge to aap apne blog me new article or behtar article publish kar sakte ho. Lekin yahi baat agar aap negatively loge to aap hamesa depression me rahoge or aapke andar ek jealousy felling aayegi.
Human mentality hai ki wo apne aapko sabse behtar dikhana chahta hai or agar aisa nahi hota to wo depression me chala jata hai. Isliye jab bhi aap apne competitor blog ko dekho to unse motivate ho, na ki jealous.
Compare karne par hamare andar ek feeling aati hai ki hum unse behtar kar sakte hai ya unse behtar nahi kar sakte. Agar aapke andar aisi feeling hai ki aap apne blog ko dusare blog se behtar nahi bana sakte to ye aapki sabse badi mistake hai.
Dosto in 5 mistakes ko apne se hamesa dur rakhe taki aap ka blog bhi ek din us mukam par ho jaha aapke blog se inspire hoke log apna blog banane lage. Agar aapko hamari ye article acchi lagi ya fir aap apni experience share karna chahte hai to comment jarur kare. HAPPY BLOGGING
bilkul sahi baat btayi hai aapne sir,,,m bhi esa hi karta hu m hamesha blog design ko lekar preshan hota rahta hu aur mera bahut sara time usme kharab ho jaata hai,,thanks m aage se eska dhyan rakhunga
🙂