Kya aapne kabhi socha hai ki aapke blogspot blog dashboard ka language bhi change ho sakta hai ? Ji haan, agar aap apne blogspot dashboard ka language change karna chahte hai to aap isay easily change kar sakte ho.
Agar aapko English read karne me problem hoti hai to aap pane blog dashboard ka language apne language se change kar sakte hai. Google blogger me aisa option hota hai aapko jo language samajh me aati hai aap us language ko select kar ke apne blogger dashboard ka language easily change kar sakte ho.
Blogger blog har language (bhasha) ko support karti hai, or yahi wajah hai ki koi bhi kisi bhi language me apne blog ka language change kar skate hai taki usay blogging karne me koi problem na ho. Aaj hum aapko isi ke bare me batayenge ki Blogspot blog dashboard ka language kaise change kare ? to chaliye jante hai.
Agar aap English ke alawa kisi or language me blogging karte hai to aap apne blog dashboard ke language ko bhi usi ke hisab se change kar sakte hai.
Blogspot blog dashboard ka language kaise change kare ?
Yaha hum aapko 2 methods bata rahe hai. Agar first method follow karne ke bad bhi aapke blogger dashboard ka language change nahi hota hai to aap second method ko try kare.
METHOD – 1

1. Pehle aap blogger.com par login kare or Setting par click kare.
2. Language and formatting par click kare.
3. Language bar par click kare. Or apna language select kare.
4. Save settings par click kare.
Aisa karke aap apne blog dashboard ke language ko change kar sakte hai. Lekin agar fir bhi aapke blogger dashboard ka language nahi change ho raha hai to aap second method ko follow kare.
METHOD – 2

1. Setting par click kare.
2. User settings par click kare.
3. Google account par click kare.

Edit icon par click karke apni language select kare. Ab aap apne blogger dashboard ko refresh kare , hume puri ummid hai ki aapke blogger dashboard ka language change ho jayega.
Blog dashboard ka language karne ka kya fayda hoga ?
Aapko pata hi hoga ki har kisi ko English aati nahi hai, agar aapki khud ki bhasa me aapko ko kuch kaha jaye to aap usay easily kar sakte ho. Waise hai agar blog ke dashboard par aapne knowlege ki language dikhegi to aapko Blogging karne me bahut hi aasani hogi.Happy Smart Blogging..
Blogger se paise kaise kamay
Blog se paisa kamane ke liye aapk Google adsense ke liye apply karna hota hai.. Jab aapka Adsense account approve ho jayega tak aapke blog me ad show honge, jab koi aapke ad par click karega to aapko uske paise milte hai.. Isliye agar aap apne blgo se earning karna chahte ho to Adsense me register kijiye…
Good information sir
Thanks Rahul Keep visiting
Nice post thanks for share