Kisi bhi website or blog ka main identity uske logo se hoti hai jo site ke sabse upar display hoti hai. Waise hi kisi bhi website ke liye uska favicon bhi bahut important hota hai. Favicon browser tab me icon ke jaisa display hota hai. Agar aap apne blog ko kisi bhi browser ke jariye open karoge to aap dekh sakte ho ki browser tab me aapke blog ka naam or uske left side me ek icon hoti hai, isi icon ko favicon kaha jata hai.
Blogger blog me by-default blogger ki favicon hoti hai.. Agar aapne apne blog ka favicon change nahi kiya hai to jab koi bhi aapke blog ko open karega to usay browser tab me blogger favicon najar aayega or koi bhi easily bata sakta hai ki aapka blog blogger me bana hua hai.
Apne blog ko professional look dene ke liye favicon add karna bahut jaruri hai issay aapke blog ki alag identity banegi. Favicon icon ka main role ya hai ki agar koi apne browser me bahut sare tab open kiya huye hai to aapka blog bhi open kiya hua hai to wo easily aapke blog tab ko pehchan sakega..

Favicon icon aapke blog open karne par browser tab par show hota hai. Agar aap blogger.com par blog banate ho to aapke blog par Google blog ka favicon najar aayega. Aap upar diye gaye image me dekh sakte ho. Ye icon by default blogger blog par hota hai or isay hum change bhi kar sakte hai.
Kya blogspot blog ka favicon icon change karna jaruri hai ?
Waise to agar aap apne blogspot blog ke favicon icon ko change nahi karte to iski wajah se koi problem nahi hogi, but agar aap isay change karte ho to ye aapke blog ko ek professional look milega. Kyonki blogspot ka icon ye batata hai ki aapka blog blogger par bana hai..
- Impressive logo kaise banaye? Logo banane ka smart tarika.
- Kaise pata kare ki website responsive hai ya nahi ?
Jaise ke humne aapko bataya ki kisi bhi blog ki identity uske logo ke se hi hoti hai lekin uske favicon ko bhi ek main identity ke hisab se liye jata hai , kyun ki favicon browser tab me display hoti hai. Agar kisi ne apne browser me bahut sare tab open kiye huye hai to wo easily favicon dekh kar bata sakta hai ki kon sa tab me kon sa website open hai. Favicon ki wajah se logo ko browsing karne me or kisi bhi website ko identify karne me help milti hai.
Friends ab aap itna to samajh hi gaye hoge ki blog par favicon ka kya role hota hai or isay lagane kyun jaruri hai. Ab chaliye aapko batate hi ki favicon kaisa hona chahiye.
Favicon kaisa hona chahiye ?
Favicon kisi bhi blog or website ki identity hoti hai, isliye aapke blog ka favicon unique hona chahiye. Aap hamare blog ka favicon dekh sakte ho hum apne blog par jo favicon use karte hai wo hamare blog ki ek identity hai, agar aapne apne browser par bahut sare tab open karke rakhe hai to aap easily hamare blog ke favicon ko dekh kar identify kar sakte ho ki ye acchibaat blog hai.
Kehne ka matlab ye hai ki aap jo bhi favicon use karo wo simple, visible or unique hona chahiye. Aap browser tab me dekh sakte hi ki favicon ka size bahut chota hota hai or aise me agar aap aise favicon use karte ho jo visible hi na ho to , iski wajah se aapke blog ki identity ka pata hi nahi chalega, metlab ki koi bhi aapke blog ke favicon ko dekh kar confuse ho jayega.
Favicon kaise banaye ?
Apne blog par favicon lagane se pehle aapko ye janna jaruri hai ki favicon kaise banaya jata hai or iski size kitni honi chahiye. Friends favicon ka size 32×32 , 64×64, 100×100 px hona chahiye, yani ki aap jo bhi favicon use karo wo square size me hona chahiye. Aise image jiska length or width same ho usay aap apne favicon ke liye use kar sakte ho.
Favicon banane ka sabse behtar tarika hai ki aap Microsoft Paint ka use karo. Aapko simply apne blog ka short naam likhna hai, font color change karna hai or usay save karna hai. Jaisa ki aap hamare blog ke favicon ko dekh sakte ho hamare favicon me sirf s2b likha hua jo ki hamare blog ka short form hai.
Microsoft paint me favicon banane ke bad aap apne favicon ko Microsoft office ke jariye resize or crop karke square size me convert kar sakte ho.
Internet par aapko jitne bhi favicon generator milte hai wo sab work to karte hai lekin aap jaisa chahte ho waise favicon aapko nahi mil pata. Behtar yahi hai ki aap khud se Microsoft paint or office me apne favicon ko design or edit kare.
Note : Favicon ka size square hona chahiye or 100kb se kam hona chahiye.
Favicon design hone ke bad aapko apne favicon ko apne blog me lagana hoga, chaliye ab aapko batate hai ki kaise apne blog par favicon lagaya jata hai.
Blogspot blog ke favicon icon ko kaise change kare
Apne blog ka favicon change karna bahut hi aasan hai. Aap kuch hi minute me apne blog ka favicon change kar sakte ho bas aapki niche diye gaye steps ko follow karni hai.
Step : 1

1. Apne blogger dashboard par jaye or Layout par click kare.
2. Favicon me Edit par click kare.
Step : 2

Edit option par click karne ke bad ek popup window open hoga.
1. Choose File par click karke aapne ko favicon banaye hai usay elect kare. Note : Aapka favicon square shape me hona chahiye or aap jo favicon choose karenge uska size 100kb ke andar hona chahiye. Square size ka matlab hai ki aap jo bhi image upload karo uska width or height same hona chahiye. Jaise 10×10, 15×15, 20×20..
2. Save button par click kare..
Thats it, aapka faicon change ho jayega…
Conclusion
Friends aap apne blogspot blog ke favicon icon ko change karke apne blog ko ek professional look de sakte hai. Jaisa ki aap jante ho ki hum apne blog par apne blog ka logo lagate hai jissay hamara blog bahut hi attractive lagta hai waise hi favicon ko bhi change kare.
Agar aapko apne blog ke design se related kuch problem face karni pad rahi hai to aap humse comment ke jariye jarur bataye taki hum aapke sabhi problem solve kar sake. HAPPY BLOGGING
Bahut hi achha likha hai.
Es tarike se favicon icon lag jata hain.
thanks Nitish ji