Blogspot Blogger Ka Template Kaise Change Kare

Aapke blog par jitna jaruri quality content ka hona jaruri hai utna hi jaruri aapke blog ka design bhi hota hai. Kyonki maan lijiye ki agar aapke blog ka content bahut accha hai lekin aapke blog ka design utna accha nahi to iaka asar aapke content par padega, or aapke visitor aapke blog par jyada time spend nahi karenge.

Ek blog ko acche se display karne ke liye ek acche theme ya template ki jarurat hoti hai, isliye aapko apne blog par aisa template lagana chahiye jissay aapka blog simple or professional lage.

Blog ki suruwat Google Blog ya fir WordPress se hi hoti hai, or maximum log Google me hi apna pehle blog banate hai. Blog banane ke bad blog me articles bhi likhna suru kar dete hai, kuch mahino ke bad bahut hard work karne ke bad pata chalta hai ki hamare visitors to increase hi nahi ho rahe.. Jiski wajah se wo blogging karna hi chod dete hai.

Jiski main wajah yahi hai ki aapke blog ka design ya template accha nahi hai, as a result visitor to aapke blog par to aate hai par jyada time tak aapke blog par spend nahi karte.

Jab maine apna pehla blog banya tha tab 6 month ke bad mera 3 bar google adsense application reject ho gaya tha. Mujhe pata hi nahi tha ki kis wajah se reject ho raha hai, bas yahi reason tha ki ‘ your blog is not compile with adsense policies ‘ … 

Mujhe kuch samajh me nahi aaya , ek din maine apne blog ka template hi badal dala.. or adsense ke liye apply kiya, 2 din ke bad hi mera adsense account approved ho gaya… Ek choti si mistake ne mujhe bahut badi information di.. Aapke tamplate ki wajah se aapka adsense accounts approve nahi ho sakta, ye baat mujhe tab pata chali…

Anyway, aaj hum aapko 2 tarike batayenge jiski help se aap apne blogspot blog ka template change kar sakte ho. Ya yu kahe ki aap aap bade hi aasani se apne blog ka theme change kar sakte ho.

Pehle hum ye janenge ki tamplate hota kya hai or template kaisa hona chahiye ?

Template hota kya hai ?

Aapka blog ke page or post kis tarah logo ko visible honge ye template decide karta hai. Template aapke blog ko ek naya or unique look deta hai. Agar aapke blog ka look sahi nahi hoga to visitor aapke blog ko thik se navigate nahi kar payenge, or hoga ye ki aapke visitors traffic din-ba-din kam hote jayenge. Ek well designed template ki wajah se hi aapke blog ki pehchan banti hai..

Template kaisa hona chahiye ?

Ye janana behad jaruri hai ki aapke blog ka existing template kaisa hai or aap jo template change karne ja rahe ho wo kaisa hoga. Agar aapne apne blog par aisa template laga liye jiski wajah se aapka blog slow open hone lage to ye bahut hi annoying situation create kar degi.. Jab bhi template change kare in baato ka khayal jarur rakhe..

Mobile friendly template

Mobile or computer ka screen size different hota hai, or agar aapka template mobile friendly nahi hai to wo mobile par bhi computer jaisi visibility dikhayega, matlab aapko left right navigation karni padegi. Agar hum is baat ko technically kahe to ‘ aapka template responsive hona chahiye ‘…  Matlab ki aapke template aisa hona chahiye ki wo kisi bhi screen size me fit ho sake.

SEO Friendly Template

Maximum template me SEO already programmed hota hai, matlab ki search engine se connect karne wali template jo search engine ko update deti hai ki aapne naya article publish kiya hai.. Alternately agar template SEO friendly nahi hai to hum manually apne blog ki sitemap ko search engine par submit kar sakte hai…. Agar aapne apne blog ka sitemap Google search engine par submit nahi kiya hai to hamara ye article jarur read kare : Google Search Engine Me Apna Blog Kaise Index Kare

First Loading Template

Maine apne blog par aise bhi template use kiye hai jo bahut hi slow hote hai, jo aapki blog ki opening speed ko bahut in increase kar dete hai, Agar aapka blog jaldi se open nahi hoga ya fir usay open hone par jyada samay lagega to ye aapke blog ke visitors aapke blog par dubara nahi aayenge…

Blogspot Blog Ka Template Kaise Change Kare ?

1. XML Template File Ko Upload Karke Template change kar sakte hai.

  • Pehle aap online blogger template download kar le..
  • Hum jo template online download karte hai wo zip file me hoti hai.
  • Usay unzip kare (extract kare)
  • Extract karne ke bad aapko waha XML file milegi usay apne blog par upload karna hai.
Blogspot Blogger Ka Template Kaise Change Kare

1. Apne blogger dashboard par Theme par click kare.
2. Right top corner par Backup/Restore ka option hoga us par click kare.
3. Agar aap apne purane template ka backup lena chahte hai to Download theme par click kare. Ye bahut important hai kyon ki kai bar aisa hota hai ki jo hum naya template upload karte hai wo blog par support nahi karta. Isliye hume apne purane template ka backup rakhna behad jaruri hai, taki agar naya template thik se kaam na kare to hum apni purani template fir se upload kar sake.
4.Choose File par click karke apne XML file ko select kare. (Blog template XML format me hi hota hai)
5. XML file select karne ke bad Upload par click kare. Aapka blog template change ho jayega.  

2. Directly XML file ko template par paste karke bhi hum apne blog ke template ko change kar sakte hai.

Blogspot Blogger Ka Template Kaise Change Kare

1. Apne blogger dashboard me Theme par click kare
2. Iske bad Edit Html Par click kare.  

Blogspot Blogger Ka Template Kaise Change Kare

1. Apne Naye XML code ko paste kare. (XML file ko notepad++ par open kare or uske code ko copy karke yaha paste kare)
2.Save Button par click kare.  

In 2 tariko ko follow karke aap apne blog ka template (theme) change kar sakte ho.

Conclusion : 

Template change karne ke bad aapko apne Layout option ko bhi check karna hoga kyonki aapke purane template me jo widget use huye honge wo naye wale template me bhi honge par unka location alag ho sakta hai.  Naya template upload karne ke bad aapko navigation menu fir se create karna hoga.  

NOTE : Bar bar apne blog ka template change na kare, aisa karne par aapke blog SEO friendly nahi rehta, or aapka page rank bhi decrease hota jayega. 

Friends agar aapko hamari ye post acchi lagi ya aap humse kuch puchna chahte ho to comment ke jariye jarur bataye taki hum aapki sabhi problems solve kar sake. HAPPY BLOGGING

अगर आप हमसे High quality, Impressive और SEO friendly आर्टिकल लिखवाना चाहते हो तो आप हमसे संपर्क कर सकते हो. ज्यादा जानकारी के लिए नीचे दिए गए whatsapp नंबर पे संपर्क करें.

हमारी अन्य सेवाएं

  1. Adsense approved करवाना
  2. Wordpress setup
  3. Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
  4. किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
  5. Android App बनाना
हमारा whatsapp नंबर है : 9583450866
Scroll to Top