Bounce rate kya hai or isay kaise kam kare?

Bounce rate hume batati hai ki aapke blog par kitne percent visitor aapke blog ke sirf ek page ko view karke aapke blog se chale jate hai. Friends aapke blog ka bounce rate jitna kam hoga utna aapke blog ke rank ke liye accha hota hai. Aaj hum aapko bounce rate se related sari information denge or batayenge ki kaise aap apne blog ke bounce rate ko decrease kar sakte ho , yani ki bounce rate kaise kam kare Hindi me jankari…

Bounce rate kya hai ?

Maan lijiye ki aapke blog ka bounce rate 70% hai to aapko samajh jana chahiye ki aapke blog pe aane wale visitors me se 70% visitor aapke blog par sirf ek hi page ko view karte hai. Agar aapke blog ka bounce rate 100% hai to aapke blog par aane wale sare visitors aapke blog me sirf ek hi page read karte hai.

Bounce rate se hum apne blog ki quality ka pata laga sakte hai. Agar bounce rate 60% se jyada hai to aapka blog kabhi bhi accha perform nahi kar sakta. Isliye bounce rate ko kam karna bahut jaruri hai.

Bounce rate kaise kam kare ?

Agar aap iske bare me internet par search karoge to aapko bahut se advice mil jayenge jaise

In sabhi ki help se aap apne blog ke bounce rate ko kuch had tak kam kar sakte ho. Lekin aaj jo hum aapko batane ja rahe hai usay apne blog par implement karke aap apne blog ke bounce rate ko bahut hi aasani se kam kar sakte ho.

Quality content

Main hamesa ye kahta hu ki agar blogging me success pana hai to aapko hamesa quality content hi publish karna chahiye. Agar aapke blog me quality content nahi hai to koi bhi aapke blog post ko pura read nahi karega or aapke blog par jyada time bhi spend nahi karega.

Quality content hi aapke blog ka back bone hota hai, agar aapke blog ka back bone hi kamjor rahega to aapka blog kaise chal sakta hai. Isliye chahe bounce rate kam karne ki baat ho ya apne blog ki ranking ko improve karne ki, aapko apne blog ke content ko strong karna hi hoga.

Agar aap hamare blog ki article ko read karoge to aapko pata chalega ki hum apne blog post ki quality improve karne ke liye usme related article ka link jarur use karte hai, agar post me quality hai to koi bhi post ko full read karega or post me diye gaye internal link ko bhi jarur read karne ke liye open karenge. Overall aapke blog post ki quality hi aapke bounce rate ko control karti hai.

Friends ye bahut bahut bahut jyada important hai ki aap apne blog par jo content likh rahe ho wo kaisa hai, kya wo quality wala hai.. agar nahi to sabse pehle aap pane content ko modify kare, taki aapke content ko jo bhi read kare pura read kare.

Blog or promotion

Blog ko promote karne ka bhi ek tarika hota hai. Agar aap apne blog ko aisi jagah par promote kar rahe ho jaha par aapke blog ko read karne me koi interested nahi hai to aap apna samay barbad kar rahe ho.

Aapko apne blog ko aisi jagah par promote karna chahiye jaha se aane wale visitors aapke blog ko like kare. Hota ye hai ki jab koi post link aap kisi social network par publish karte ho to sirf usi post ko read karne ke liye log aapke blog par aate hai or post koi read karne ke bad wo chale jate hai..

Aise me aap ko apne visitors ko apne blog ke parti dedication najah nahi aayega. Jiski wajah se aapka blog ka bounce rate hamesa badha hua rahega.

Iske liye aap apne blog se related khud ki ek social page create kare or waha par apne blog ka update dete rahe. Issay aapko pata lag jayega ki jo aapke social page ko like karte hai wo aapke blog ko bhi jarur like karenge or as a result aapke social page ko like karne wale aapke blog ke regular visitor ban jayenge or aapka bounce rate bhi kam hoga.

Blog ka niche

Aapke ghar me dustbin to hoga hi, or aap usay istemal bhi karte honga.. Ghar ka sara kachra aap dustbin me dalte ho… Waise hai agar aapne apna blog banaya hai jisme duniya bhar ka kachda hai to aapke blog ko koi bhi like nahi karega….

Mere kahne ka matlab ye hai ki sirf ek hi topic se related aap article publish karo, jyada topic me article publish karoge to aapka blog kisi dustbin se kam nahi rahega. Agar aap apne blog me sirf Health se related article likhte ho to aap sirf isi topic par article likhe, na ki kal ko koi dusara topic par article likhna suru kar de…

Ye hamesa dhyan me rakhe ki aapke blog par aane wale visitors aapko dekh kar nahi aate balki aapke blog ke content ko dekh kar aate hai, agar aapke blog me duniya bhar ka kachda hai to koi bhi aapke blog par ek bar aane ke bad dubara kabhi nahi aayega.

Isliye kabhi bhi apne blog ke topic ke alawa kisi dusare topic par article na likhe.

Blog ka design or navigation

Agar aapke blog ka design aisa hai jisay dekhne ke bad logo ke aankhon se aansu nikal aate ho to aapka blog kisi dusman se kam nahi hai. Kahne ka matlab ye hai ki aapke blog me bahut jayda bright color hai, text thik se visible nahi hai, font size bahut chote hai, to koi bhi aapke blog ko kaise read karega..

Hamesa apne blog par aisa color combination use kare jissay kisi ko bhi aapke blog ke articles ko read karne me taklif na ho.. Ye to baat hui color combination ki.. Par aapke blog ka navigation bhi accha hona chahiye..

Maan lijiye ki aapke blog par ek visitor aapke ” +2 science guide ” article  ko read kar raha hai, article pura read karne ke bad related post widget me usay 10th mathematics, +3 arts topic or commerce guide article milte hai to apko kya lagta hai ki wo aapke dusare article ko read karega ? Ji nahi, wo aapke blog ko bye-bye kahke chala jayega..

Or yahi sabse badi wajah hai ki aapke blog ka bounce rate itna jyada hai. Apne blog me easy navigation ke sath sath relevant related content bhi rakhe taki article ko pura read karne ke bad wo dusare article ko read kar sake..

CONCLUSION

Friends bounce rate kam karna chahte ho to aapko quality content, easy navigation or design par sabse pehle focus karna hoga.. Bounce rate kam karne ka main reason ye hai ki blog par aane wale visitors multiple page ko navigate kare.. Friends aaj ka hamara ye article aapko kaisa lag comment ke jariye jarur bataye.. HAPPY BLOGGING

अगर आपको blogging सीखना हो या आप हमसे High quality, Impressive और SEO friendly आर्टिकल लिखवाना चाहते हो तो आप हमसे संपर्क कर सकते हो. ज्यादा जानकारी के लिए नीचे दिए गए whatsapp नंबर पे संपर्क करें.

हमारी अन्य सेवाएं

  1. Adsense approved करवाना
  2. Wordpress setup
  3. Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
  4. किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
  5. Android App बनाना
हमारा whatsapp नंबर है : 9583450866