H1 header tag usi keyword ko focus karta hai jo aapke blog post me sabse important sentence hoti hai.. Agar baat ki jaye ek article ki to uska sabse important sentence uska title hi hoga.. H1 header tag ko search engine sabse pehle scan karti hai jiski wajah se aapke webpage ka ranking hota hai. Aaj is post ke jariye aap janoge ki Kya aapke blog ke title me H1 header tag hai ? or kaise isay pata kare ?
Jab bhi aap koi naya post publish karte ho to aap us post ka ek post title dalte ho, or yahi post title automatic H1 header tag me badal jati hai.. Aapke blog ka theme aapke post title ko H1 tag me hi rakhta hai.. Lekin kya aisa really me hota hai ? agar aapne apne blog par aisa theme use kar rahe ho jo aapke post title ko H2 tag me rakhti hai to aapko apne theme ko change kar dena chahiye, kyonki jab search engine aapke blog ko scan karegi to usay koi bhi H1 tag nahi milega jiski wajah se aapke post ki ranking acchi nahi hogi.
Aise bahut se theme internet par available hai jo post title ko H2 tag me rakhte hai, agar aap bhi aisa theme use kar rahe ho to aapko kabhi pata hi nahi chalega ki aapke blog ka theme aapke blog title ko kis header tag me rakhta hai…
Aaj hum jo guide aapko batane ja rehe hai usay follow karke aap easily pata laga sakte ho ki aapke blog post ka title kis header tag se belong kar raha hai .. To chaliye jante hai..
Kya aapke blog ka title me H1 header tag hai?

Sabse pehle aapko apne blog ke kisi bhi article pe jana hai or us post ke title ke upar mouse pointer rakh ke right click karna hai.
Right click karne par aapko ek menu najar aayega jisme aapko Inspect par click karna hai…

Jaise hi aap inspect par click karoge aapko aapke post title ka code visible hoga jisme aap easily pata kar sakte ho ki aapke post title me kon sa header tag use kiya hua hai..
Jaisa ko aap upar diye gaye image me dekh sakte ho ki isme H1 tag use kiya gaya hai.. Iska matlab ye hai ki humne jo theme apne blog par use kiya hua hai wo hamare post tile ko H1 tag me dalta hai..
Lekin agar aapko apne blog post title me H1 ki jagah H2 tag najar aata hai to aapko apne blogger theme ko change kar dena chahiye, taki search engine aapke blog post ke main focus part (post title) ko read kar sake or aapke blog post ki ranking ho sake..
- Impressive blog post kaise likhe ?
- Blog ko design karne ka 28 best tarika
- Blog sidebar ko fixed ya floating kaise kare ?
- Mobile ke jariye blog theme change/upload kaise kare ?
- Apne mobile ko computer kaise banaye ?
Friends, hamesa aapke blog post ka title H1 tag me hi hona chahiye agar aisa nahi hai to us theme ko use karne ka koi matlab nahi jo aapke blog post ko search engine friendly nahi banati.. Ummid karta hu ki aap bhi apne blog post me jarur check karoge ki aapke post ka title kis tag se belong karta hai.. Aap apna feedback hume comment ke jariye jarur de. HAPPY BLOGGING
हमारी अन्य सेवाएं
- Adsense approved करवाना
- Wordpress setup
- Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
- किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
- Android App बनाना
Sir
1)Mobile phone ka upyog karke kaise pata kare ki hamari post H1 me hai ya H2 me
2) H1 me post title dikhane wali koi theme suggest kijiye plz
1.vinod ji iske bare me hum jald hi ek post likhne wale, so stay in touch.
2. Me apne blogger blog par alpa theme use karta tha, aap ish theme ko templatesyard.com se download kar sakte ho. Ye theme full seo friendly hai.
धन्यवाद सर
Isme thanks ki kya baat hai..
Vinod ji aap ish post ko read karke apne mobile ke jariye apne blog post h1 tag ke bare me pata kar sakte ho – Mobile ke jariye h1 tag ke bare me kaise pata kare ?
Thanks a lot ,
I really resolve my problem .
Thanks bhai keep visiting
नमस्कार श्रीमान जी
में अपने ब्लॉग में GP premium थीम प्रयोग कर रहा हूँ आपके द्वारा बताए अनुसार चेक करने पर कुछ पोस्ट्स में H1 टैग का issue आ रहा है। इसके लिए क्या किया जाये।
Theme change kijiye.