Kya aapke blog me adult content hai? Agar haan, to is article ko jarur read kare

Google blog ke jariye agar aap adult content ko publish kar raha hai to alert ho jaye, google kabhi bhi aapka blog banned kar sakta hai. Iska main reason yahi hai ki google kabhi bhi adult content ko allow nahi karta chahe wo koi photo ho , video ho ya koi text ho.. Jyada jankari ke liye aap google blog ki content policy read kar sakte ho..   To friends aaj ka hamara main topic hai ki agar aap apne google blog par aisa kuch kar rahe hai jo ki google content policy ke khilaf hai to aapko apne blog ke content ko modify karna hoga.. Agar fir bhi aap apne blog par aise content publish karte ho jo ki family friendly nahi hai to aapko apne visitors ko batana hoga ki aapka blog 18+ category me aata hai… 

To iske liye kya kare ?

Kya aapke blog me adult content hai ? Agar haan , to is article ko jarur read kare

1. Apne blog dashboard par Setting par jaye.
2. Other par click kare.
3. Adult content me Yes select kare.
4. Save settings par click kare.  

Aisa karne se ye hoga ki ‘ jab bhi koi visitor aapke blog par aayega usay ek warning message dikhega jisme ye likha hoga ki ye blog family friendly nahi hai ‘.. Agar wo visitor aapke blog ko visit karna chahta hai to wo aapke blog par aayega nahi to back chala jayega.. Issay aapke visitor ko pehle se ye jarur pata chal jayega ki aapke blog ka content kaisa hai..  

Agar aap apne blog par hamesa aise content publish karte ho jo ki family friendly nahi hai or aapne apne setting par Yes option select nahi kiya hai to aapka blog kabhi bhi banned ho sakta hai…    Dekhiye google blog ke jariye log apni thinking, experience or personal life ke bare me share karte hai, isay neat and clean hona hi chahiye… Happy Smart Blogging..

X