Ye article un bhaiyo or behno ko dedicated hai jo apna khud ka blog banane ka soch rahe hai or unke maan me ye doubt hai ki kya blog banane ke paise lagte hai ? Aaj ka article un sabhi logo ko dedicated hai jo dusare blog se inspire hokar apna khud ka blog banane ke bare me soch rahe hai..
Aaj har koi apna blog banana chahta hai wajah sirf ek hi hai ki wo apne blog se earning kar sakte hai .. Blog se earning karna jitna aasan dikhta hai utna hota nahi, par hum apna pehla kadam to utha sakte hai apna khud ka blog bana kar..
Dosto aaj ke time me apni thinking or experience share karne ka sabse accha platform hai blogging. Aap apne khud ke blog se famous ho sakte ho, agar aapke likhe gaye articles ko log pasand karenge to wo article ke writer ko bhi pasand karenge or jiski wajah se aapka naam bhi hoga..
Lekin ek blog banane ke liye aapko kya karna padega, kya aapko apne blog banane ke paise lagenge ? Inhi sawalo ka jawab aaj hum apne is article ke jariye aapko denge, isliye aap hamare is article ko pura read kare taki aapko blog banane ke bad un problems ko face na karna pade jo maximum log karte hai.. Par issay pahle kuch words ke bare me jaan lijiye jo basically blog me use ki jati hai..
Blog – Ye ek website hi hai jisme hum apne article likh ke publish karte hai. Blog ke jariye aap apna article publish karke puri duniya me share kar sakte ho. Aap blog ko ek khali notebook ki tarah dekh sakte ho, jisme aap jo bhi article likho wo puri duniyo ko najar aayega..
Blogger – Jaisa ki acchibaat.com hamara blog hai jisme me article publish karta hu, isliye me blogger hua. Blogger usay hi kaha jata hai jo apne blog ke jariye article publish karta hai.
Blogging – Jab koi paint ke jariye kuch banata hai to usay painter kahte hai, waise hi agar blog ke jariye aap kuch likhte ho ya publish karte ya fir apne blog ko manage karte ho to usay blogging kaha jata hai. Agar me apna simple sa introduction du to aisa hoga ” Mera naam Ravi saw hai , me ek blogger hu or blogging karna mujhe bahut pasand hai “.
Website or blog – Website or blog me hamesa confusion hota hai ki ye dono hai kya, to me aapko bata du ki ye doni website hi hai.. Lekin in dono me differences itna hi hai ki website me sirf page hote hai or blog me page or post dono..
To friends in words ko samajhne ke bad chaliye ab hum apne main topic par aate hai..
kya blog banane ke paise lagte hai ? Hindi me jankari
Blog do type ke hote hai ek free wala or dusara paid wala. Free blog me aapko ek rupay bhi invest karne ki jarurat nahi hoti lekin paid blog me aapko paisa dena hota hai.
To friends agar aap pehli bar apna blog banane ja rahe hai to meri suggestion yahi ha ki aap blogging ki suruwat free blog se kare, kyonki maximum aise bhi log hote hai jo apna blog to bana lete hai lekin unhe ye pata nahi hota ki wo kis topic par article likhe, ya fir kuch mahino ke bad wo blogging se quit kar dete hai.. Aisa aapke ke sath na ho isliye free blog banana hi behtar option hai.
Or aaj hum aapko isi ke bare me batayenge ki kaise aap apna khud ka free blog bana sakte ho, kyonki jab maine apni blog ki suruwat ki thi tab free wala blog hi banaya tha… Or hume pura yakin hai ki aap bhi yahi chahte ho.. Apna blog free me banan ek liye hamare guide ko follow kare..
Free me blog kaise banaye ?
Blogger.com website ke jariye aap apna free blog bahut hi aasani se bana sakte ho. Ye website google ka hi service hai, jo sirf blog banane ki aapko suvidha deta hai. Agar aapke pas gmail me account hai to aap directly Blogger.com me login kar sakte ho..
Blogger.com me blog banane ke liye kis chij ki jarurat hoti hai?
Aapko sirf ek gmail id or password ki jarurat hogi, agar aapne gmail account nahi banaya hai to pehle aap Gmail.com me ja kar register kare… Aap apne gmail id or password ki help se blogger.com me login kar sakte ho..
Blogger.com ke blog kaise banaye ?
Friends blogger.com me blog banan ke liye humne jo tutorial diya hai usay aap bhi sath me follow kare taki aapko koi confusion na ho or aap bahut aasani se apna blog bana sako..

Aapko apne browser ke jariye blogger.com website par jana hai or CREATE YOUR BLOG par click karna hai..
Iske bad aapko apna gmail id or password dal kar login karna hai..

Login karne ke bad ek profile option aayega waha par aapko Create a Google+ profile par click karna hai..

Iske bad aapko apna naam dalna hai, gender select karna hai or CREATE PROFILE par click karna hai.

Iske bad aapko apna photo upload karna hai or SAVE par click kare, agar aap photo upload nahi karna chahte to aap directly SAVE par click kare.

Iske bad Continue to Blogger par click kare.. Itna karte hi aapka Google me blog profile create ho jayega, matlab ki aapko blogger.com me ek platform mil jayega apna khud ka blog banane ke liye..

Ab aapko CREATE NEW BLOG par click karna hai.

Yaha par aapko pane blog ka Title dalna hai, agar aap technical blog banan chahte ho to technical se related Title dale , jaise – My Tech Guide, Tech Guide, Technology Tips etc.. Address me apne blog ka url ya link address kya hoga wo dalna hai, jaisa ki aap image me dekh sakte ho ki maine smart2bloggingdemo.blogspot.com dala hai.. waise hi aap apne blog ka koi accha sa address dale.. Itna karne ke bad Create blog par click kare..

No thanks pa click kare..
Congratulation aapka free blog ready ho gaya hai, agar aap apne blog pe koi article publish karna chahte hai to New post par click kare ya fir apne blog ko live dekhna chahte hai to View blog par click kare.
Is tutorial ke jariye aap apna khud ka free blog bana loge. Blog banane ke bad aap hamare niche diye gaye article ko bhi jarur read kare taki aapko blog banane ke bad koi problem na ho.
- New post kaise kare ?
- Blog me bahut hi badhiye article kaise likhe ?
- Kya blog me copy paste kar sakte hai ?
- New blogger ke liye 9 best tips
- Kuch silly mistakes jo har blogger karta hai?
In sabhi articles ko jarur read kare or blogging ke field me apna pehla kadam badhaye..
Friends aapko internet par aise bahut se article mil jayenge jo free or paid blog ke bare me batate hai, par hum aapko paid blog ke bare me ish article ke jariye nahi bataya , kyonki hume lagta hai ki ye article unhi logo ke liye hai jo blogging karna chahte hai or khud ka blog banana chahte hai, isliye blog start karne ke liye free blog banana hi aapka pehla kadam hoga blogging world me… Welcome to blogging… HAPPY BLOGGING