Hello bloggers kaise ho aap sabhi, aaj hum aapko us sawal ka jawab dene wale hai jo har newbie blogger ke mind me hoti hai or mujhse bhi ye sawal har bar kiya jata hai ki Kya mujhe Adsense ke liye apply karna chahiye? Aaj ka post aap sabhi blogger ke liye hi hai jo pehli bar adsense ke liye apply karne wale hai or jinhe ye pata nahi ki adsense ke liye kab apply karna chahiye.
Friends aap ye to jante hi ho ki blog ke jariye acchi khasi earning ki ja sakti hai or agar blog ke jariye earning ki baat aati hai to sabse pehle Google Adsense ka hi naam aata hai. Aisa isliye kyunki internet par aaj jinte bhi blog available hai unme se maximum blog par adsense ke ad show hote hai , or adsense hi ek aisa source of income hai jiske jariye aaj bahut se blogger ghar baithe acchi kahsi earning kar rahe hai.
Agar aapne apne blog sirf isliye banaya hai ki aap adsense ke jariye earning kar sako to hamare ye post ko jarur read kare –
- Kitne post publish karne ke bad adsense ke liye apply karna chahiye?
- Adsense approval pane ke liye kitne words ka blog post likhe?
Me aapko highly recommend karunga ki aap upar diye gaye dono post ko jarur read kare taki aapke mind me jo adsense ka kida hai wo nikal jaye. Hota ye hai ki maximum log blog banane ke bad raat din apne blog par post publish karne me lage rahte hai or end me hota kuch bhi nahi hai. Blogging me hard work ki nahi balki smart work ki jarurat hoti hai or yahi smart work ko acche se samajhne ke liye aapko upar diya gaye post ko read karna chahiye.
Anyway, waise jab bhi mujhe ye sawal kiya jata hai ki kya me adsense ke liye apply kar sakta hu ya nahi ? Lekin ye sawal ka jawab aapko batane se pehle aapko kuch basic adsense concept ke bare me jarur batana chahunga…
Adsense ke liye apply karne par kya hota hai?
Agar aap apne blog ke jariye adsense ke liye apply kar diye ho to aapka blog adsense team review karti hai or aapka blog adsense ke liye approved ho jata hai ya fir reject ho jata hai..
Overall agar aap adsense ke liye aaply karte ho to aapka adsense approve bhi ho sakta hai or reject bhi ho sakta hai. Or yahi approval or rejection ke bich me jo tension hoti hai usi ke wajah se hamare mind me ek sawal aata hai ki Kya mujhe adsense ke liye aaply karna chahiye ?
Kuch blogger bahut confuse hote hai , wo adsense ke sabhi guideline ko follow karte hai or apne blog par quality post bhi publish karte hai lekin unke maan me ek doubt jarur hota hai ki kya mujhe adsense ke liye aaply karna chahiye ?
Starting me sabhi bloggers ke maan me yahi doubt hota hai, kahi adsense ke liye apply kar diya or adsense reject ho gaya to sari mehnat pani me mil jayegi. Agar aapke maan bhi bhi yahi tension chal rahi hai to aaiye jante hai ki kya hai iska solution ..
Kya mujhe AdSense ke liye apply karna chahiye?
Agar aapka blog adsense ke sabhi guidelines ko follow karti hai to aapko adsense ke liye apply kar dena chahiye. Ab aap ye mat kahiyega ki bhai please mere blog ko ek bar check karke bataye ki kya me adsense ke liye apply kar sakta hu ya nahi..
Bhai mujhse behtar aap khud apne blog ko jante ho or yahi sabse badi baat hai, aapko pata hai ki aapne apne blog me kya kya content dale hai or aapke blog ka design aapko kaisa lagta hai. Mujhse suggestion lene se behtar hai ki aap sabse pehle adsense ke liye apply karo or agar aapka adsense approved ho jata hai to congratulation or gar aapka adsense reject ho jata hai ki adsense aapko khud guide karegi ki aapko aage kya karna chahiye.
Jab kisi ka adsense reject ho jata hai to adsense email ke jariye aapko ye batati hai ki aapka adsense kyun reject hua hai , bas adsense ke diye gaye suggestion ko follow kare or fir se adsense ke liye apply kare.
NOTE – Ek bar adsense reject hone ke bad aap dubar adsense ke liye apply kar sakte ho, isliye aapko tension lene ki jarurat nahi ki agar adsense reject ho gaya to kya karna padega.
Friends me khud ek example hu, mera bhi adsense 3 bar reject hua tha or tino bar adsense ki taraf se diye gaye email ke jariye mujhe suggestion mili thi. Or wo sabhi suggestion ko pura karte karte mujhe 4th time me adsense approval mili.
CONCLUSION
Agar aap pehli bar adsense ke liye apply karna wale ho to sabse pehle adsense ke sabhi guideline ko follow kare or adsense ke liye aaply kar de, agar adsense reject ho jata hai to aapko adsense khud suggest karega ki aage kya karna hai.. To friends ab aap itna to samajh hi gaye hoge ki adsense reject hone par khud adsense aapki help karta hai taki aapka adsense approve ho jaye. Agar aapko adsense se related koi bhi doubt hai to aap hamare adsense category ko visit karna na bhule. HAPPY BLOGGING
9583450866
Kaafi knowledgeable post hai…Ravi bhaijaan…
Thank you for sharing…..
Thanx and Regards
Sandeep jain
Thanks brother
Sir maine adsene ke liye already apply kardiye hai 4 din ho gaye abhi tak koi reply nahi mila
Wait kare or adsense ke mail ka intejar kare.