Kisi bhi blog ko famous hone ke liye ya success hone ke liye mehnat, dedication or smart work ki jarurat hoti hai. Waise bhi aaj ke time me 100 me se 10 log blog banate hai or unme se bahut kam aise hote hai jo apne blog ko us mukam tak le jate hai jaha par har koi pahuchna chahta hai. Har koi apne blog se paisa kamana chahta hai, or ye sahi bhi hai, lekin iske liye aapke pas patience bhi honi jaruri hai. Maximum log blogging me failure kyon hote hai ?
Aaj hum aapko kuch aisi jankari dene ja rahe hai jiski wajah se maximum blogger apne blog ko successful nahi bana pate or blogging me fail ho jate hai. Kuch aise mistakes jo unke blog ko itna down kar deta hai ki unhe blogging karne ka maan hi nahi karta.
Blogging me failure hone ke bahut se wajah hai jisay hum waqt rahte samajh gaye to blogging karne ka maja or badh jayega or aapne blog ko successful bhi bana sakte hai.
Maximum log blogging me failure kyon hote hai ?
Bahut sare topic par articles publish karna
Ye sabse badi wajah hai jissay maximum blogger blogging se quit kar lete hai. Agar aapne apna blog ek topic par banaya hai to aap sirf usi topic par article publish karoge. For example – Agar aapka blog Health topic se belong karta hai to aap sirf health se related hi article publish karoge, or aapko apne blog ko update karne ke liye sirf ek hi article publish karne ki jarurat hogi… Lekin agar aapne bahut sare topic par article publish karte ho ya fir aapka blog bahut se topic ko belong karta hai to aapko apne blog ko update karne ke liye sabhi topic par article publish karna hoga..
Agar multi topic blog ko single topic blog se compare kiya jaye to single topic blog sabse behtar perform karta hai. Maan lijiye ki aapke blog me ek hi topic se related article available hai to aapke blog par aane wale sare visitors aapke usi topic ko read karne ke liye aayenge or aapke blog ko like bhi karenge kyonki aapne sirf ek hi topic par focus kiya hua hai.. Or aapke blog par jitne bhi visitors aayenge wo sabhi ek hi topic ke mind set wale honge..
Lekin agar aapne aisa blog banaye hua hai jisme bahut sare topic par article available hai to aapke blog par aane wale visitors ka mind set alag alag hoga, koi aapke health article ko read karne aayenge, koi aapke relationship article read karne aayenge, koi aapke technical article ko read karne aayenge.. etc .. Iska matlab ye hua ki aapke blog pe jitne bhi topic hai utne hi type ke visitors aapke blog par aayenge…
Multi topic par blogging karna aasan kaam nahi hai, lekin agar aapke pas ek team hai jo daily aapke blog par different topic par article publish karte hai to haan aap multi topic blog ko bhi successful bana sakte ho.. Lekin agar aap akele itne sare topic ko ek hi blog me daal rahe ho to ek baat to clear hai ki aapka blog jyada din tak nahi chal sakta, or ek din aisa bhi aayega jab aap khud paresan ho jaoge ki kis topic par article publish kiya jaye..
Multi topic blog ka ek main problem ye hai ki sabhi topic me se kuch hi aise topic hote hai jo aapke blog pe bahut accha perform kar rahe hote hai, yani ke bake ke sabhi topic ki performance improve karni hai to aapko us topic par focus karna hota hai… Ye bhaut hi confusion wala situation ho jata hai..
Me hamesa kehta hu ki blogging ek simple platform hai isay itna complicated mat banao ki aap khud isme ulajh jao… Or yahi sabse badi wajah se jissay ek blogger apne blogging me fail ho jata hai.
Paisa kamane ke liye blog banana
Aaj bhi aapko aise blogger mil jayenge jo sirf dusare successful blog se inspire ho ke apna blog bana lete hai, or sayad aapne bhi kisi blog ya website se inspire hoke apna blog banaye hoga. Ye jo inspiration hai na wo hume unhi blog se milti hai jinhone apna earning report sabhi ke sath share kiye hota hai, aise blog ko read karke hamare andar bhi ek aag lag jati hai ki ” hum bhi apna blog banayenge or khub paisa kamayenge” lekin ye aag itni bhi nahi hoti ki wo aapko kuch kar gujarane ka hosla de sake..
Ab inspiration ke chakkar me to khud ka blog bana diye or article bhi publish karni suri kar di.. or jaise jaise unki articles ki quantity improve hote jati hai waise waise unki andar lagi inspiration ki aag sant ho jati hai.. Or jab ye aag shant ho jati hai to wo google par search karte hai ” How to approve adsense ? “
Aise blogger ke liye sirf paisa kamana hi main aim hota hai, wo blogging ko thik se samajhna hi nahi chahte.. Jab unhe apne blog se koi improvement hasil nahi hota to blogging se quit kar lete hai… Kya aapko pata hai ki kisi bhi blog ko success ya fir thik se traffic aane me lagbhag 6 mahine ka samay lagta hai, lekin sart ye hai ki aapke blog me quality content hai ya nahi..
Lekin paise kamane ke lalach me aise blogger sirf content hi apne article me publish karte hai, quality ekdum nahi hoti.. jiski wajah se unka blog thik se perform nahi ho pata..or wo blogging chod dete hai..
Regular blog update na karna
Jab aap blogging ki suruwat karte ho to khud se ek promise bhi karte ho ki har din ek post publish karoge ya fir mahine me 20 post, lekin jaise jaise samay bitata jata hai post publish karne ki quantity reduce hoti jati hai or aakhir me aap apne blog par koi article publish nahi karte… Aapko internet pe aise lakho blog mil jayenge jo saalo se update nahi huye hai.. Aise blog bas ek dustbin ke alawa kuch nahi hai..
Apne blog par hamesa post publish karte rahna or apne blog ko consistently run karna hi ek successful blog ki nisani hoti hai.. Jab aapke blog par koi visitors aate hai to wo aapke content ko read karne ke liye hi aate hai, or usme maximum visitors aise hote hai jo aapke blog ke latest article ko read karne ke liye aate hai..
- Blogging ko full time carrier kaise banaye ?
- Blogging me success pana hai to khud ko successful blogger samjho
Agar aapke blog me kai mahino tak koi update nahi rahega to aapke blog par aane wale visitors aapke blog se sirf nairasa hi hasil karenge or aapke blog par wapis kabhi nahi aayenge, jiski wajah se aapke blog ka traffic or popularity din-ba-din reduce hota chala jayega..
Friends jaisa ki aap jante ho ki aaj ke time me blogging me bahut competition ho gaya hai jiski wajah se har din koi na koi aapka competitor paida ho jata hai, or agar aap apne blog ko regular update nahi karoge to aapka competitor aapke blog se aage nikal jayega..
Ye baat hamesa yaad rakhe ki ek latest news 1000 old news se behtar hota hai, isliye agar aap apne blog ko update nahi karoge to aapka blog purana hota jayega or ek din log or search engine aapke blog ko bhul jayega, jiski wajah se aap blogging me failure hasil karoge. Isliye blog ko successful banane ke liye or apne competitor ko hamesa aage rahne ke liye aapko apne blog par continues update dena hoga. Me ye nahi kehta ki aap har din ek article publish kare, lekin haan hafte me ek article jarur publish kare.
Quality content ki kami hona
Jab bhi me blogging ki baat karta hu to abse pehle quality content ke bare me batata hu, ye aapke blog ka back bone hota hai. Overall aapka blog isi ki wajah se hi popular hota hai ya fir failure hota hai. Ek baat hamesa yaad rakhe ki aapke blog me log isliye aate hai kyonki aapke blog me content hai or unhi me se kuch visitor aapke blog par wapas visit karte hai kyonki aapke blog ke article acche hai par agar wahi visitor aapke blog ko subscribe karte hai to aapko samajh jana chahiye ki aapke blog me quality content hai, jisay koi bhi aapke blog ko like karne lagega..
To aapko pata hi hoga ki aapka blog me content hai , acche content hai ya fir quality content hai. Agar aapke blog me sirf content hai to log aapke blog ko sirf visit karenge , or blog par sirf visit karne wale visitors waise hi hote hai jo kisi mele me ghumane gaye ho..
Aapke blog ka content hi aapko us mukam tak pahucha sakta hai jaha aaj ke top successful blogger hai or wahi content aapko failure me bhi le ja sakte hai..
Dosto agar aapke blog me bekar ke content hai to aapke blog kabhi bhi accha rank hasil nahi kar sakta jiski wajah se aapke blog fail ho jata hai. Humne aise bahut se blogger ko jante hai jo apne blog par sirf content ki quantity ko improve karne me lage rahte hai, wo kabhi apne blog post ki quality par dhyan nahi dete balki content count par dhyan dete hai..
Aapne aise blog dekhe honge jisme 50 article hi publish huye hote hai lekin unka Adsense approve ho jata hai.. Or aise blog bhi dekhe honge jo 500 se bhi jyada post publish kar chuke hai fir bhi unka Adsense approve nahi hota.. Iski wajah sirft quality content hi hai..
Adsense Earning kam hona
Har ek blog apne blog ki success ko earning se compare karta hai, agar aapki earning aachi hai to aapka blog success, nahi to failure. Ye sach bhi hai, har ek blogger apne blog ke jariye paisa kamana chahta hai.. Jo aisa karne me kamyab ho jate hai unhe successful kaha jata hai or jo nahi kar pate unhe failure blogger kaha jata hai.
Bahut se blogger apne blogging ki suruwat blogspot blog se hi karte hai or kuch samay bad WordPress pe apna blog transfer bhi kar lete hai.. Lekin WordPress par blogging karne ke liye aapko paise dene hote hai, agar aapke blog ki earning itni nahi hai ki aap apne blog ko maintain kar sako to aap apne blog ki wajah se depression me chale jate ho or isi depression ke chalte aapko blogging me maan nahi lagta.. Jiski wajah se aap blogging karna chod dete ho..
Earning kam hone ki wajah se aise bahut se blogger hai to apne blog par regular update nahi karte ya fir apne blog par update karna hi chod dete hai. Aise me unke blog ki traffic or ranking kam hoti chali jati hai or unka blog fail ho jata hai.
Extra factors
Humne jo factors bataye yahi main wajah hai ki ek blog success nahi ho pata, par iske alawa bhi kuch factors hai jiski wajah se ek blog fail ho jata hai jaise – SEO factor, blog design, Interaction with visitors, templates.. Par in sabhi extra factor ka impact utna nahi hota..
Friends aaj humne aapko kuch factors bataye jinki wajah se ek blog successful hone ki bajaye failure ho jata hai.. Aap ke bhi sath aisa na ho isliye aap hamare diye gaye point ko samjhe or khud ko ek successful blogger banaye. Agar aapko hamari post pasand aai ya fir aap is article me koi point add karna chahte hai to aap jarur comment ke jariye bataye.. HAPPY BLOGGING