Blog traffic improve karne ke liye hume apne blog par seo karna hota hai jise – Seo friendly theme use karna, seo friendly blog post likhna or seo friendly image use karna, in sabhi ko apne blog par use karne par hi hamara blog puri tarah seo friendly hota hai. Par kya aapko pata hai ki hamara blog theme bhi search engine ko hamare blog ke bare me information deti hai. Ji haan, Meta Tag ke jariye aap apne blog ke bare me search engine ko bata sakte ho taki search engine apke blog ke basic points ko samajh sake. Aaj hum Meta Tag ke bare me baat karenge or janege ki Meta tag kaise generate kiya jata hai or apne blogger blog me isay kaise lagaye.
Jaisa ki maine aapko bataye ki Meta Tag search engine ko hamare blog ke bare me information deti hai. Par kya aapko pata hai ki Meta Tag aakhir hai kya ? Chaliye sabse pehle iske bare me jaan lete hai.
Meta Tag Kya hai? What is Meta Tag?
Meta Tag sirf ek html codding hoti hai jisme blog se related sabhi basic information rakhi jati hai. Jissay search engine easily pata laga leti hai ki
- blog kisi topic par hai
- blog ka main keyword kya hai
- blog kis language me hai
- blog ka author kaun hai
- blog kis country se belong karti hai
Apne blog ke bare me ye sabhi basic information hum Meta Tag ke jariye search engine ko batate hai taki wo hamare blog ko acche se samajh sake or usay search result me accha position lene me koi problem na ho.
Overall hum Meta Tag ke jariye search engine ko guide karte hai ki wo hamare blog ko samajhe or usay accha rank de.
Friends ab aapko itna to pata chal hi gaye hoga ki Meta Tag sirf ek html coding hoti hai jisay search engine read karta hai. Agar aap hamare blog ko search engine par search karoge to aapko 2 chij show hogi.
- Title
- Description

Title – Title me jo kuch bhi likha hua hai wo hamare blog ka title hai, jisay Meta Title Tag ke jariye search engine ko bataye jata hai.
Description – Hamare blog ke description yani ki short information Meta Description Tag ke jariye batai jati hai.
Yaha aapne 2 meta tag ke bare me jana, pehla Meta Title Tag or Dusara Meta Description Tag.. Ab aap khud socho ki agar aap apne blog me meta description na dete ho or jab aap apne blog ko search engine par search karoge to aapke blog ka description najar aayega ? Nahi aisa hoga hi nahi.. Bina meta description ke aapke blog search engine par apne hisab se meta description generate kar lega jo aapke blog se relevant nahi hogi.
Title or description jaha hamare blog ke bare me search engine ko batati hai wahi wo hamare title or description ko apne search result me show karne ka bhi kaam karti hai. Title or description ke alawa bhi hum apne blog ke bare me kuch basic information search engine ko bata sakte hai jaise –
- blog owner
- blog main keywords
- country
- language
Aap hamare diye gaye tool ke jariye easily meta tag generate kar sakte ho, lekin sabse pehle aap ye jaan lo ki aapko hamare tool ko kaise use karna hai.

1. TITLE – Blog title ka matlab to aapko pata hi hoga, iska matlab hota hai ki apke blog ka title kya hai. For example – mere blog ka title hai smart2blogging- Make money and blogging tips in hindi. Blog title me aapko apne blog ka naam or uske bare me 3-4 words likhna hai.
2. BLOG DESCRIPTION – Apne blog ke bare me 150 letters ka short description likhe.
3. BLOG KEYWORDS – Aapke blog ka main keyword kya kya hai usay mention kijiye. Jaisa ki aap upar diye gaye image me dekh sakte ho ti maine apne blog ke main words kya kya likhe hai. Aap bhi apne blog ke main-main keywords ko likhe, par dhyan rahe ki aap jo bhi keyword likho uske bich me “,” (comma) jarur use kare
4. Author – Yaha apna pura naam likhiye.
5. Language – Yaha apne blog ka language likhe, jaise – Hindi, English, Oriya, Punjabi.. Aap apne blog me jis language me post likhte ho usa language ko yaha likhe – Note : Agar aap Hinglish me apna blog post likhte ho to aapko yaha Hindi likhna hai.
6. Country – Aap jis country me rehte ho uska naam likhe.
7. Sab data fill karne ke bad Generate code par click kare.
Bas itna karte hi aapka Meta Tag Code generate ho jayega. Aap niche diye gaye tool ke jariye apne blog ka meta tag code generate kare.
Meta Tag Code generate karne ke bad aapko apne blog me isay lagana hota hai , to chaliye jante hai ki meta tag code ko apne blogger blog me kaise lagaye.
Blogger me Mete Tag Kaise lagaye?
1. Apne blogger dashboard me jaye or Theme par click kare.
2. Edit HTML Par click kare
3. <head> code ke niche Meta Tag code paste kare or Save theme par click kare. Bas itna hi aapko karna hai.
Friends aap apne blog ko search engine friendly banane ke liye apne blog me meta tag jarur lagaye taki search engine hamare blog ko samajh sake or usay apne search result me accha rank de. Aaj ka hamare post aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye. HAPPY BLOGGING