Mobile ke jariye Facebook account kaise banaye 5 minute me aasani se … Agar aap mobile ke jariye apna Facebook account banana chahte hai to aap sahi jagah par aaye ho. Aaj sabhi ke paas smart phone hai or sabhi apne mobile ke jariye chatting karna chahte hai or Facebook se badhiye option koi nahi hai. Facebook ek aisi jagah hai jaha aap apne friends , relative ke sath chatting or photo share kar sakte ho. Lekin kya apko pata hai ki aap Facebook ke jariye dunia ke kisi bhi log ke sath friendship kar sakte ho. Haan Facebook par aapko aisi suvidha milti hai jissay aap duniya ke kisi bhi kone me rehne wale logo ke sath friendship kar sakte ho.
Bahut se logo ke maan me ye doubt (संका) rehta hai hai ki mujhe English nahi aati Facebook kaise use karunga ? To main yaha kahna chahunge ki Facebook bahut se language me available hai, iske bare me bhi aap aapko batayenge taki Facebook istemal karte samay aapko koi paresani na ho. To chaliye aapko batate hai Mobile ke jariye Facebook account kaise banaye 5 minute me ?
Mobile ke jariye Facebook account kaise banaye 5 minute me aasani se
Facebook me account banana bahut hi aasan hai aap niche diye gaye step ko follow karke bahut hi aasani se Facebook me apna account bana sakte ho. Facebook me account banane ke doran aapko apna naam, birthday, mobile number or gender dalna hota hai, jisay aap niche diye gaye steps ko follow karke bahut hi aasani se samajh jaoge ki kab kaha par kya dalna hai.
STEP – 1
Apne mobile ke browser me Facebook.com type kare or enter kare. Aap directly yaha click karke bhi Facebook.com open kar sakte ho.
Jab aap apne browser ek jariye facebook.com open karoge to upar diye gaye image ke jaisa hi ek page khulega. Agar aapko English samjhne me thodi problem hoti hai to aap apni bhasha change kar sakte ho. Facebook me account banane ke liye Create New Account par click kare.
STEP – 2
1. Yaha aapko pane naam likhna hai. Jaisa ki mere naam Ravi Saw hai to maine First Name me Ravi likha hai or Surname me Saw.
2. Naam likhne ke bad Next par click kare.
STEP – 3
1. Yaha aapko apna Birthday date dalna hai.
2. Birthday dalne ke bad Next par click kare.
STEP – 4
1. Yaha aapko apna mobile number dalna hai. Aap jo number mobile me use kar rahe hai us number ko yaha dale.
2. Mobile number dalne ke bad Next par click kare.
STEP – 5
1. Yaha aapko apna gender select karna hai. Gender ka matlab hota hai ki aap Male (boy) ho ya female (girl) . Agar aap girl ho to Female select kare.
2. Gender select karne ke bad aap Next par click kare.
STEP – 6
1. Yaha aapko password dalna hai. Yaha aap kuch bhi likh sakte ho , yaad rahe ki aapka password kam se kam 6 letter ka hona chahiye.. Password aisa rakhe ki aap hamesa usay yaad rakh sako kyonki Facebook me login ke doran password ki jarurat padti hai.
2. Password dalne ke bad Sign Up par click kare.
STEP – 7
Ab yaha aapko select karna hai ki aapne jo password Facebook me dala hai wo browser me save hoga ya nahi. Matlab ki agar aap apne browser me apna Facebook password save karte ho, to jab aap Facebook me login karoge to aapka password pehle se fill rahega jissay aapko password dalne ki jarurat nahi hogi. Agar aap apne browser me password save nahi karne chahte to Not Now par click kare ya fir password save karna chahte hai to Ok par click kare.
STEP – 8
Apka Facebook me registration complete ho gaya hai ab aapko apne mobile number ko verify karna hoga. Aap apne mobile ke message inbox me cleck kare waha Facebook ki taraf se ek message aaye hoga jisme ek link hogi. Us link par click kare or apne mobile number ko Facebook par verify kare.
Link par click karte hi aapka mobile number Facebook ke liye vaify ho jayega.
STEP – 9
Mobile number verify karne ke bad aapko ek option najar aayega jiske jariye aap Facebook app ko apne mobile me install kar sakte ho. Agar Facebook app ko install karna chahte hai to Install Now par click kare ya nahi karna chahte to Next par click kare.
STEP – 10
Ab aapko wo sare friends , relatives najar aayenge jinhone Facebook me apna account banaya hua hai. Bas aapko kisi bhi friend ko Facebook friends banane ke liye Add friends par click karna hai. Friend add karne ke bad Next par click kare.
STEP – 11
Yaha aapko Facebook profile photo dalna hai. Photo dalne ke liye Add picture par click kare , photo upload hone ke bad Next par click kare. Friends in sabhi steps ko agar aapne thik se follow kiya hai to aapka Facebook account read ho gaya hoga.
In sabhi steps ko follow karne ke liye 5 minute se bhi kam samay lagta hai.. Aap apne Facebook account me jakar apne kisi bhi friends ko search kar sakte ho or unse friendship bhi kar sakte ho. Ek bar agar aapka friend request accept ho jaye to aap apne friends ke sath message chat, photo share, or video call bhi kar skate ho. To friends aaj ka hamara ye article aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye. Thanks