Mobile ke jariye Facebook Password kaise change kare? Agar aapka Facebook password kisi ko pata chal gaya hai or aapko daar hai ki kahi aapka facebook hack na ho jaye to aapko turant apna Facebook password change kar dena chahiye. Waise bhi Facebook me account banane ka matlab hota hai ki hum apne ek personal social profile bana rahe hai, jisme hum apne profile details, friends, messages, photos rakhte hai. Lekin wahi profile agar koi dusara vyati use karne lage to aapki personal profile bhi personal nahi rehti. Mobile ke jariye Facebook Password kaise change kare?
Agar aapka password kisi ko pata hai to wo aapke Facebook account se me aapke sabhi messages ko read kar sakta hai, aapka password change kar sakta hai ya fir aapke Facebook account ke jariye aapko blackmail bhi kar sakte hai.
Maan lijiye ki aapke ghar me ek locker hai jiski chabhi sirf aapke pas rehti hai lekin agar uski chabhi kisi dusare ke haatho me chali jaye to aapki locker hi khali ho jayega. Facebook ko bhi aap apne locker ki rarah samajh sakte ho or password ko locker ki chabhi.
Kuch saal pehle jab maine Facebook par apna account banaya tha to mujhe Facebook pe friends banana, message chat karna accha lagta tha. Ek bar maine apne friend ke mobile se apna Facebook account open kiya or bad me maine logout bhi kar diye, pata nahi kaise mere friend ko mera Facebook password pata chal gaye or usne mere sabhi message chat read kar liye. Hua to kuch nahi par mere friends mujhe chidhane lage.
Sabhi friends ek jaise nahi hote kuch aapke sath masti-majak karne ke liye aapka Facebook password chori kar lete hai to kuch aapke Facebook ki jasuri ya fir blackmail karne ke liye aapka Facebook password chori kar lete hai.
Isliye aapko ye jarur pata hona chahiye ki Facebook ka password kaise change kiya jate hai. Aaj hum aapko isi ke bare me batane wale hai or aaj aap janoge ki kaise apne mobile ke jariye Facebook password change kiya jata hai. To aaiye jante hai.
Mobile ke jariye Facebook Password kaise change kare?
Facebook ka password change karna bahut hi aasan hai, bas aapko niche diye gaye steps ko follow karna hai or agar aapko kisi bhi step ko follow karne me koi problem aa rahi hai to aap hume comment kar sakte hai.
STEP – 1

1. Apne Facebook account me login kare or Menu button par click kare. Menu button sabse upar 3 rakir ki tarah najar aata hai.
2. Menu button par click karne ke bad Settings par click kare.
STEP – 2

Security and login par click kare.
STEP – 3

Change password par click kare.
STEP – 4

1. Current password – Yaha apna Facebook account ka password dale.
2. New password – Yaha aapko apna naya password likhna hai. Aap apne Facebook me jo naya password rakhna chahte hai usay yaha likhe.
3. Retype new password – Apne new password ko fir se yaha type kare.
4. Save changes par click kare.
Bas itna karte hi aapke Facebook ka password change ho jayega. Aap apne naye password ke jariye Facebook par login kare.
CONCLUSION
Friends aapne apne mobile ke jariye apna Facebook password to change karna sikh liye lekin aapko kuch baato ka dhyan rakhna hoga jaise –
- Apna Facebook password kisi ko nahi batana hai.
- Apne friends ke mobile ya computer ke jariye apne Facebook account me login nahi karna hai.
- Apne naye password ko yaad rakhe or galti se bhi uske bar me kisi ko na bataye.
- Aapne apne Facebook passwod change kiya hai iske bare me bhi kisi ko nahi bataye.
Dosto Facebook ek personal social profile hai or isay personal hi rakhne ke liye aapko hamesa apne Facebook password ko kisi ke sath share nahi karna hai. Agar aapko Facebook se jude koi sawal puchna hai to aap hume comment kare. THANKS
हमारी अन्य सेवाएं
- Adsense approved करवाना
- Wordpress setup
- Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
- किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
- Android App बनाना
Bhai aapne vadiya article likha hai
Or sabse badi baat yah ki ek din me aap ne 3 article likh diye bhai
Aapke talent ki taareef krni padegi hajoor
Lage rahi
??????
Thanks Vijay bhai, bas aapki duwako ka asar hai.