Navratri Me Kya Karna Chahiye Aur Kya Nahi? Yaad Rakhe

Kaise ho dosto, sabse pahle hum aapko Navratri ki shubhkamnaye dena chahte hai aur aaj ka article hai ki, “Navratri Me Kya Karna Chahiye Aur Kya Nahi”. Jin logo ko navratri ke bare me nahi pata hai, unhe bata de ki Navratri ka mtlb hota hai “9 Raate”, ye ek hindu festival hai jisse pure india me bade dhoom dhaam se manaya jata hai.

In 9 dino me 9 devi ki puja ki jati hai. Jesa ki sab logo ko pata hai ki humare desh me bhagwaan ko bahut mana jata hai aur unki puja ki jati hai, isi tarah ye festival bhi hai. Navratri me sabse khaash baat ye dhyan rakhne wali hoti hai ki in navrati me kya karna chahiye aur kya hai.

Sabhi ke mann me ye rahta hai ki in Navratir me kuch humse galti na ho jaye. To inhi baato ko dhyan me rakhne hue hum aapko is article me batayenge ki Navratri me kya kiya jata hai? aur Kya nahi kiya jata?

Navratri Me Kya Kare

Agar aap Navratri mana rahe hai to aapko ye janana bahut jaruri hai ki Navratri me kya kiya jata hai aur ise kis tarah se manaya jata hai. Bhaut se logo ko nahi pata hoga hai ki Navratri me kya kiya jata hai, khaas kr office wale logo ko. To inhe baato ko dhyan me rakhte hue humne niche kuch tips bataye hai, inhe padhe aur Navratri ke time pe follow kare.

1. Puja Karna

Navratri me puja karna sabse improtant mana jata hai, wese to sabhi festival me puja ki jati hai but Navratri me pure 9 din regular puja ki jati hai. Mana jata hai ki puja karne se Maa ko prashan kiya jata hai. To Puja karte time apne sharir ko saaf rakhe humara mtlb hai ki naha dho kar, saaf kapde pahan kar puja kre. Dhyan rakhe ki puja baith kar kare.

2. Jaware Rakhna

Jin logo ko nahi pata hai unhe bata de ki Navratri me jaware rakhi jati hai. Navratri ke pahle din kisi lote me miti bhar ke jaware ko usme daal diya jata hai aur fir 9 we din jab jaware lag jati hai tab unhe kaat ke puja ki jati hai. Kaha jata hai ki jin logo ke ghar me jaware achi tarah se ugti hai unse Mata khush rahti hai.

3. 9 Dino Tak Vrat Rakhna

Agar aap vrat rakhne ki soch rahe hai aur wo bhi pure 9 din to aapko gud luck. Kaha jata hai ki in Navratri me jo 9 din pure vrat rakhta hai uski sabhi manokamnaye puri hoti hai aur uspar Mata ka aasirvaad bana rahta hai. Agar aap 9 din ka vrat nahi rakh sakte to koi baat nahi aap pahle din aur last din vrat rakh kar puja sampan kar sakte ho.

4. 9 we Din Visesh Puja Ki Jati Hai

Navratri me pure 9 din puja ki jati hai wo bhi subah aur shaam ko. Puja karte time agar aap paath bhi padna chahte ho to aap padh sakte ho, ese me aapko aur gyan milega ki Navratri kue manaye jate hai, kitne devi hote hai etc etc.

5. 9 we din Kanayo Ko Bhojan Karaye

Jab aapke pure 8 din complete ho jate hai tab 9 din badi puja ki jati hai. Is puja ko pura karne ke liye 9 kanayo ko khane ke liye bulaya jata hai. Sabse pahle kanayo ke pair dhoye jate hai fir tika lagaya jata hai. Fir uske baad unhe khana diya jata hai. Khane me puri, halwa, chane etc ese pakwaan banaye jate hai.

Navratri Me Kya Na Kare

Jis tarah aapko pata hona chahiye ki Navratri me kya kiya jata hai usi tarah se aapko ye bhi pata hona chahiye ki Navratri me kya nahi karna chahiye. Niche humne yahi bate batayi hai. Inhe padhe aur please in cheezo ko Navratri ke time pe na kare, nahi to anarth ho sakta hai mtlb Mata naraaj ho sakti hai.

1. Baal, Dhadi, Nakhun Na Kate

Humare purane bujug bhi yahi kaha karte the ki Navratri me Baal, Dhadi, Naakhun nahi kaatne chahiye. Ab iske piche reason kya hai ab ye bhi hum batate hai. Navratri me Baal, Dhadi, Nakhun katne ko apshagun mana jata hai.

2. Sharaab Na Piye

Dhyan rakhe ki na to sharaab pi kar ghar par aaye aur na ki sharaab kisi ko pilaye. Navratri ka mtlb hi ye hota hai ki in 9 dino me bade pyar se aur sache mann se Mata ki puja ki jaye aur unka aashirwaad liya jaye. Ab ese me aap sharaab pi kar ghar par jhagda karoge to kon si mata ki kirpa aapar rahegi. Agar aap sharaab pite bhi hai to 9 din pina chhod de aur sache mann se Mata ji ki puja kare.

3. Pyaj – Lehsun Na Khaye

Agar Navratri me khane ki baat ki jaye to pyaj aur lehsun khane me na use kare. Agar aap vrat nahi rakh rahe hai to aapko khana bina pyaj aur lehsun ke banana hoga. To yahi kuch baate hai jo aapko in dino yaad me rakhna hoga.

To friends aapko humara ye article kesa laga, hume comment ke through batayie. Aur ha sath me is article ko social media sites pe share karna na bhule. Ese me bahut se logo ko knowledge mil jayegi. Take care and have a nice day.

अगर आपको seo friendly article लिखवाना हो, वेबसाइट बनवाना हो, अपने ब्लॉग का setup करवाना हो तो हमसे whatsapp के जरिये संपर्क करें. हमारा whatsapp नंबर है-
9583450866