Agar hum SEO (search engine optimization) ki baat kare to sabse pehle jo word samne aata hai wo hai SITEMAP.. SEO ke pehla step hi hota hai SITEMAP submit karna.. Aaj hum apne is article me aapko SEO ke main part ke bare me batane ja rahe hai jo hai SITEMAP, or janege ki kaise SITEMAP ko create kiya jata hai…
SITEMAP hota kya hai ?
Sitemap ek .XML link hota hai , ye ek programming language hai jisay search engine read karta hai. Ek sitemap me kisi bhi particular website ki data hoti hai jisme uske content ke bare me information available hoti hai.. Jaise – kitne post hai, post kis topic par hai, keywords kya hai, title kya hai, post kab publish hui thi , post ko kab udpate kiya gaya tha.. Overall ek sitemap me wo sari chije hoti hai jissay search engine samajh sake ki aapke website me kya-kya content hai..
Aapko apne sitemap ko search engine (jaise – Google, bong, yahoo) par submit karna hota hai , taki search engine aapke website ko acche se samajh sakte or uske content ko apne search result par show kar sake..
- Blog sitemap ko Google search engine pe submit kaise kare ?
- Blog sitemap ko Yahoo, Bing search engine par submit kaise kare ?
Sitemap ko hi SEO ka backbone kaha jata hai, aap apne website ka sitemap search engine par submit nahi karoge to aapka website search engine par show hi nahi karega.. Aapko manually apne website ke sitemap ko create karna hota hai, or uske bad usay search engine pe submit karna hota hai..
Bahut se blogger ke maan me ye doubt hota hai ki agar sitemap search engine par submit na kare to kya hoga ? To iska sidha sa jawab hai ki aapke website par jitne bhi visitors aayenge wo search engine ke through nahi aayenge, kehne ka matlab ye hai ki aapne apne website ko promote karne ke liye jo link social network par share kiye hai usi ke jariye aapke website par log aayenge.. Isliye agar aapko apne website ko SEO friendly banana hai to aapko apne website ka sitemap search engine par submit karna hi hoga, taki search engine aapke website ko index kar sake..
Blogger blog ka Sitemap kaise banaye
Agar aapne apna blog blogger.com par bananye hai to aapko apne blog ki sitemap banane ke liye internet ki help leni hogi.. Aapko Online sitemap generator website me jana hoga, or waha pe aapko apne blog ka url dalna hoga…

Apne blog ka url dalne ke bad aapko Generate Sitemap me click karna hai..

Generate Sitemap par click karte hi aapke blog ka sitemap create ho jayega, jisay aap easily copy karke search engine par submit kar sakte ho.
Aap upar diy gaye image me dekh sakte ho ki Sitemap ek link url hai or yahi url aapke blog ka sitemap hai, ish url ke jariye hi search engine aapke blog ke sabhi data ko samajh sakta hai. Or isi url ko hume search engine par submit karna hota hai.
WordPress blog ka sitemap kaise banaye ?
WordPress blog ko SEO friendly banane ke liye aap Yoast SEO plugin ka use kar sakte ho, ye sabse best SEO plugin hai.. Jo blog ka sitemap automatically generate karta hai.. Aap Yoast SEO plugin ko apne WordPress blog par install karke apne blog ka sitemap easily generate kar sakte ho..

1. Yoast SEO plugin install or activate karne ke bad, SEO par click kare.
2. General par click kare.
3. Features par cliak kare.
4. XML Sitemap ke right side me jo question icon hai us par click kare.

Icon par click karne ke bad aapko See the XML sitemap ka option najar aayega us par click karke apne WordPress blog ka sitemap dekh sakte ho..
NOTE – Yoast SEO pluging ki help se aap apne WordPress blog ka sitemap easily search engine pe submit kar sakte ho, bas aapko apne Yoast SEO plugin ko search engine se connect karna hota hai..
To dosto aaj humne jana ki ek sitemap kya hai hai, ye kisi bhi website ke liye kitna jaruri hai or kaise sitemap create kare. Agar aap apne blog ko SEO friendly banana chahte ho to apne blog ka sitemap ko search engine par submit kare.. HAPPY BLOGGING
हमारी अन्य सेवाएं
- Adsense approved करवाना
- Wordpress setup
- Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
- किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
- Android App बनाना
good information for bloggers its great helpful tips dea
Thanks Himanshu
Bhai aap bole search engine me add krne ke liye pr mujhe ye samajh nhi aa rha search engine me add kaise krna hai
Ya google me search krna hai
यहां मैंने sitemap के विषय में जानकारी दी है. अगर आप sitemap search engine में submit करना चाहते हो तो ये आर्टिकल read कीजिए.