Top 7 Important blogging tips in Hindi

Top 7 Important blogging tips in Hindi… Blogging tips or tricks to aapne internet pe bahut read kiye honge par ek successful blogger log tabhi bante hai jab wo blogging ke kuch important tips ko follow karte hai. Aaj har koi apna blog bana raha hai or sabhi blogging ke jariye paise kamana chahte hai. Ye koi galat baat nahi par blogging karna itna aasan bhi nahi hota, agar aapko writing habit nahi hai to blogging karne me aapko interest nahi lagega or dhire-dhire aap blogging se irritate ho jaoge..

Aaj hum kuch main important blogging tips aapko batane ja rahe hai jisay aap samjhe or follow kare taki aap bhi ek din successful blogger ban sake. Friends blogging karna ek passion hota hai agar aap me blogging ke prati passion hai to aapko success hone se koi nahi rok sakta.

Top 7 Important blogging tips in Hindi

1. Be patience

Aap sab ye to jante hi hoge ki kisi bhi chij me safal hone me thoda time lagta hi hai. Or blogging ki baat kare to aapko isme bhi patience ki jarurat hoti hai. Aap rato raat successful blogger nahi ban sakte.

Mujhe bahut se comment aate hai ki maine apne blog pe bahut se content publish kiye hai par wo search engine par display nahi ho rahe.. Aisa isliye hai kyonki Google ko content index karne me thoda time lagta hai, index hone ke bad ye jaruri nahi ki aapka post search engine ke top ten list me display ho ya search result me aa jaye.. Iske liye thoda samay lagta hai..

Agar aapke content me quality hai to aapke content ko search engine ke top ten list me aane me lagbhag 2 se 3 mahine ka samay lagta hai.. isliye jaldbaji na kare thoda patience rakhe.. Kyonki blogging karne ke liye or blogging me success hone ke liye patience ki sabse jyada jarurat hoti hai..

2. Google ko aap bewakuf nahi bana sakte

Maximum new blogger paise kamane ke chakkar me apne blog to bana lete hai par unhe ye pata nahi hota ki wo apne blog par kya likhe.. Iski wajah se wo dusare blog ka content copy karke apne blog par publish karte hai ye fir dusare blog ke content ko modify karke apne blog par publish karte hai..

Kuch blogger to aise bhi hai jo kisi book , magazines ke content copy karke apne blog par publish karte hai.. Aisa karke aap blogging me kabhi bhi success nahi ho sakte… Google bahut smart hai or google ko sab pata hota hai ki kon sa content original hai , modify kiya hua hai or duplicate hai.. Aap Google ko bewakuf nahi bana sakte..

Google jab aapke blog ko scan (crawl) karta hai to aapke blog ke sabhi content ko index karne se pehle spam check karte hai or usi post ko apne search result me rank karte hai jo original hai.. Isliye friends agar aap Google ko bewakuf banane ki soch rahe ho to sambhal jao kyonki Google se dusamani bhari pad sakti hai..

Maine aise bhi blog dekhe hai jinka traffic rato rat zero ho gaya hai.. Isliye aapko apne blog ke prati dedication dikhani hogi or khud ke talent ke hisab se article likhne hogo. Aap article likhe se pehle uske bare me research kar sakte ho..

3. Updated rahe

Hamesa apne blog par article publish karna bhi bahut jaruri hai. Jo log apne blog par time-pass ke liye mahine me 2-4 article publish karte hai unhe blogging me success hone me kafi samay lag jata hai (5-10 saal) .. Agar aapko apna blogging carrier banan hai to hafte me kam se kam 5 article jarur publish kare..

Waise bhi aap jante ho ki aaj blogging me bahut competition ho gai hai or agar aap apne blogging ko seriously nahi loge to koi bhi blogger aapse aage nikal jayega..

Blogging karne ek race ki tarah hai thoda sa aap ruke ki aapke piche wale log aapse aage nikal jayenge.. Aaj blogging me itna competition ho gaya hai ki kisi bhi blog ko success pane ke liye bahut mehnat or strategy ki jarurat hoti hai.. Isliye hamesa apne blog ko update rakhe or regular post publish karte rahe..

4. Learning

Learning karna kabhi na chhode . Agar aap blogging ke bare me jyada nahi jante to aapko isay samajhna hoga taki aap blogging me perfect ho jao. Waise bhi blogging me daily kuch na kuch naya sikhne ko milta hai.. Or aap apne article me bhi to aisa hi karte ho, aap apne har article ko kuch naya information dete ho.. Or har ek article ko likhne ke liye learning or information ki jarurat hoti hai..

Maan lijiye ki aap kisi topic par article likhne ja rahe ho or aapko uske bare me puri jankri nahi hai to aap kya karoge ? Aap sabse pehle apni information or knowledge ko strong karne ke liye apne topic par research karoge , fir uske bad article likhoge.. Par aise bahut se blogger hai jo apne article me apne knowledge ke hisab se hi article likhte hai, unhe jitna pata hota hai utna hi share karte hai..

Par aisa karne se aapke article ki quality par fark padega or aap jo bhi article likhoge wo kabhi bhi Search engine par accha rank nahi kar sakegi.. Learning ko quality article ke sath bhi dekha ja sakta hai.. Agar aapke article me quality nahi hai to aapke andar bhi quality nahi hai. Isliye hamesa kuch na kuch learn karte rahe or jo bhi learn kare usay perfectly kare.

5. Easy to explain

Jaisa ki aap sab jante ho blog ek aisa platform hai jaha hum apne knowledge or experience share kar sakte hai. Par agar aap apne blog par aise content share karte ho jisay samjhne me problem hoti hai to blogging karne ka koi fayda nahi.

Aap apne blog ke jariye logo ke sath communicate kar sakte ho, par aapke communication ka tarika sabhi ko samajh me aana chahiye.. Bahut se blogger apne blog post me photos or video ki help se logo ko samjhate hai. Kuch apne blog post me simple language me logo ke sath interact karte hai, aise blogger jo apne blog me bahut hi simple or smart tarike se article likhte hai unhe success hone me time nahi lagta. Isliye apne blog me aise content publish kijiye jo logo ko acche se samajh me aa sake.

6. Timepass na kare

Bahut se blogger dusare blog ko read karne me , apne blog ki stat ko analytic par check karne me or apne adsense ko dekhne me time spend karte hai.. Aisa karne se aap kabhi bhi ek successful blogger nahi ban sakte.. Jin logo ke mind me yo soch hoti hai ki ” Jo hoga dekha jayega bas mujhe blogging karni hai” unhe blogging karne ka passion hota hai, wo apna samay bekar ki chijo me barbad nahi karte..

Aisa sabhi new blogger ke sath hota hai. Jab maine blogging ki suruwat ki thi tab me bhi bekar me time pass karta tha, kabhi apne blog ko dusare blog ko compare karne ke chakkar me time barbad karta tha or kabhi analytic me apne blog ko monitor karne me.. Aisa sabhi ke sath hota hai, kyonki new blogger ke mind me ek curiosity hoti hai kuch naya sikhne ki.. Par isi ke chakkar me bahut se blogger demotivate bhi ho jate hai..

Apne blog ko analytic me check karna, dusare blog ko read karna, apne blog stat check karna koi galat nahi hai ..Lekin sabhi ko ek limit me rakhe.. Aap ko main focus apne blog ke content ko improve karne me lagani hogi.

7. Positive thinking

Blogging karne ke liye or blogging me succes pane ke liye positive thinking ka hona bahut jaruri hai. Positive thinking hi hume demotivate hone se bachati hai. Jab aapke blog par koi comment nahi karta, adsense approve nahi hota, traffic improve nahi hoti to thoda demotivate hoti hai par hamari positive thinking us demotivation ko motivation me convert karne ka kaam karti hai..

Positive thinking hi hume ek successful blogger bana sakti hai kyonki blogging karne ke doran aise bahut se occasion aate hai jab blogging se quit karne ka maan karta par positive thinking hume aisa karne se rokti hai.

Friends in sabhi 7 points ko jarur follow kare taki aap bhi ek successful blogger ban sako.. Aaj humne jo aapko bataya hai wo aapke sath jarur hota hoga par aap apne us habit ko sudhar kar ek successful blogger ki duniya me apna pehla kadam badha sakte ho.. Agar aapko hamari ye post acchi lagi ya aap humse kuch puchna chahte ho to hume comment jarur kare. HAPPY BLOGGING

अगर आप हमसे High quality, Impressive और SEO friendly आर्टिकल लिखवाना चाहते हो तो आप हमसे संपर्क कर सकते हो. ज्यादा जानकारी के लिए नीचे दिए गए whatsapp नंबर पे संपर्क करें.

हमारी अन्य सेवाएं

  1. Adsense approved करवाना
  2. Wordpress setup
  3. Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
  4. किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
  5. Android App बनाना
हमारा whatsapp नंबर है : 9583450866
Scroll to Top