Website page ko PDF file me kaise covert kare? Aaj hum aapko batane wala hai ki kaise Website page ko PDF file me kaise covert kare, how to convert any website page to PDF file in Hindi.
Aaj internet par bahut se information mil jati hai or kuch information aisi hoti hai jisay hum bar bar read karte hai, usay apne browser me bookmark karte hai ya fir ush information ko apne notebook me likh lete hai. Bahut se student us page ka screen shot bhi capture karke rakhte hai.
Agar koi website page aapko informative lag raha hai to aap us page ko bar bar jarur visit karte ho, agar 1-2 website aapka favorite hai to aapko un dono website par visit karne me koi problem nahi hogi lakin agar wahi aapke pas aise bahut se website ka list hai jisay aap bar bar visit karte ho to aapka time jarur waste hoga.
Khas kar student ke liye jo study material pana ke liye internet par learning karte hai wo ya to website page ko bookmark karke rakhte hai ya fir usme batai information ko apne notebook me likh lete hai, par ye dono tarika use karne par aap khud confuse ho jaoge ki kon si information kaha se li gai hai.
Friends aaj hum aapko wo tarika batane wale hai jissay aap internet par available kisi bhi website page ko PDF me convert karke download kar sakte ho, or aapko ye to pata hi hoga ki mobile me pdf open karke hum easily read kar sakte hai or pdf ko offline bhi read kiya ja sakta hai, jissay bar-bar website par jane ki jarurat nahi hoga or aapka internet data bhi bachega.
Bahut se blogger apne blog post ko pdf me convert karke bhi apne visitors ko dete hai taki unke visitors offline hote huye bhi unke article se information le sake. Humne apne previous post me bataye ta ki kaise Blog post me pdf add kiya jata hai?
To friends chaliye jante hai ki kaise kisi bhi website ko pdf me convert kiya jata hai
Website page ko PDF file me kaise covert kare?
Aaj hum apako 2 methods batayenge in dono methods me se aap kisi bhi method ko follow karke kisi bhi website page ko PDF me badal sakte ho.
METHOD – 1 : Online convert webpage to PDF
Ye method ko aap apne mobile or computer ke jariye bhi follow kar sakte ho. Online bahut se website hai jo website page ko PDF me convert karne ka kaam karti hai. Unhi me se ek website web2pdfconvert.com
web2pdfconvert.com website me jane ke bad aapko us page ka url paste karna hoga jisay aap PDF me convert karna chahta ho.

1. web2pdfconvert.com website me jaye.
2. Aap jis website page ko PDF me convert karna chahte hai uske URL ko paste kare.
3. Convert to PDF par click kare. Aapne jo Website page ka url dala hai wo PDF me convert hona start ho jayega.

PDF me convert hone ke bad apako ek PDF successfully created ka notification show hoga. Bas aapko Download file par click karke apne PDF file ko download kar lena hai.
Ye method ko follow karke aap kisi bhi website page ko PDF me convert kar sakte ho. Or kamal ki baat ye hai ki aap apne mobile ya fir computer ke jariye bhi is method ko follow kar sakte ho.
METHOD – 2 : Covert Webpage to PDF using Chrome browser
Ye method sirf computer me work karta hai, agar aapke computer me chrome browser hai to aap ish method ko use kar sakte ho. Ish methof ko use karne par aapko kisi dusare website me ja kar PDF convert karne ki jarurat nahi hogi.
Aapko jis website page ko pdf me convert karna hai us website page ko apne chrome browser ke jariye open kare or Ctrl+P button dabaye. Ctrl+P button babate ho aapko kuch is tarah se najar aayega.

Aap jis website page ko pdf me convert karna chahte hai us webpage par par ja kar Ctrl+P button babaoge to aapko ek box show hoga jaha aapko webpage ka preview dikhaya jayega.

1. Change.. par click kare.
2. Save ad PDF par click kare.

Save par click kare. Save par click karte hi PDF download ho jayega.
Friends aaj ka hamara article aapko kaisa laga hume comment ke jariye jarur bataye or ye bhi bataye ki aap website page ko pdf me convert karne me kamyab huye ya nahi. Thanks
9583450866