Blog post nahi dikh raha – Why Blogger Post Not Visible? Smart Hindi Tips

Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips.. Hello friends, aaj hum ek aisi problem ke bare me aapko batayenge jisay maximum blogger jinhone apna blog blogger.com me banaya hua hai wo face karte hai. Agar aapne apna blog blogger me banaya hai to aapke sath bhi aisa ho sakta hai ki aapke blog me maximum blog post visible hi na hote ho..

Blog post ko navigate karne ke doran kuch post visible nahi hote, jiski wajah se hamara post kuch karan se hide ho jata hai. Iski wajah or puri jankari aaj hum aapko apne is article me batayenge kiWhy Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

Friends agar aisa aapke blog ke sath ho raha hai to ye bahut hi frustrating situation ho jata hai, kyonki jis post ko hum bahut hemnat ke sath likhte hai agar wahi post blog par visible na ho to bura lagta hai. Bas isi situation or problem ko solve karne ke liye aaj hum aapko wo sari wajah bayatenge jiske karan aisa hota hai.

Do din pehle mere ek friends ne iske bare me mujhe bataya ki uske blog par bahut se post display nahi ho raha.. Matlab ki agar blog post ko navigate kiya jaye to wo display nahi hota. Pehle to mujhe laga ki usne post publish nahi kiya hoga isliye aisa ho raha hai. lekin jab maine uske blog ko navigate kiya to sach me aisa ho raha tha.. Bahut se post uske blog par display nahi ho rahe the..

To friends chaliye ab hum aapko wo sare smart tips batate hai jisay aap step wise follow karke apne blog ke post ko visible karwa sakte hai…

Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

Kya aap MS Word me post likhte ho for usay apne blog par paste karke publish karte ho ?

Bahut se blogger apne post ko MS Word pe likte hai or post likhne ke bad usay copy karke apne blog par paste karte hai. Jab aap MS Word se apne likhe huye post ko copy karte ho to kuch coding uske sath copy ho jati hai jiski wajah se aapke blog me kuch post show nahi hote.

Agar aap apne blog ka post MS Word me likhte ho to aapko usay sabse pehle copy karke notepad me paste karna chahiye or fir notepad se copy karke apne blog par publish karna chahiye. Aisa karne par MS Word ke jariye jo coding copy hui hai wo avoid ho jati hai or aapka blog post show hone me koi dikkat nahi aati.

Kya aapne apne blog ka theme recently change kiya hai ?

Aisa aksar hota hai jab aap apne blog ka theme change karte ho to kuch post navigation ke doran display nahi hote. Aise me aapko apne browser ka catch file delete karna hota hai.. Sabse pehle aap apne browser ke catch file ko delete kare. Catch file delete karne ke bad apne blog ko navigate kare. Agar catch file delete karne ke bad bhi problem solve nahi hoti to niche ke steps follow kare..

Post setting change kare

Blog post nahi dikh raha - Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

1. Settings par click kare.
2. Post, Comments and Sharing par click kare.
3. Yaha aapko 7 likhna hai or posts select karna hai.
4. Save setting par click kare.

Agar aapne apne blog ka theme change kiya hua hai to ek baat me aapko bata du ki har blogger theme me default 7 post hi hota hai. Isliye apne setting me jake 7 post select kare taki aapke blog ka setting theme ki coding se match ho sake.

Itna karte hi aap apne blog ko check kare or dekhe ki problem solve hui hai ya nahi.. Agar fir bhi problem solve nahi hoti to aap niche diye gaye step ko follow kare.

Edit Theme

Blog post nahi dikh raha - Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

Theme >> Edit HTML par click kare..

Blog post nahi dikh raha - Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

Edit HTML par click karte hi aapko apne blog ka HTML code najar aayega. Aapko HTML code me kahi bhi click karna hai or Ctrl+F dabana hai. Ctrl+F dabate hi ek search box open hoga waha aapkovar postperpage search karma hoga.

var postperpage
Blog post nahi dikh raha - Why Blogger Post Not Visible ? Smart Hindi Tips

Ab aapkovar postperpage me 7 likhna hoga.. Aap upar diye gaye image ki help le. 7 likhne ke bad Save theme par click kare or apne blog ko navigate kare. Hume 101% ummid hai ki aapki problem solve ho jayegi..

Lekin fir bhi aapki problem solve nahi hoti to aap apne blog ka theme change kare or apne blog ko navigate karke dekhe, Agar dusare theme me bhi same problem najar aati hai to aap hamare diye gaye tips ko fir se follow kare..

Aisa aksar hota hai ki blog theme ki wajah se blog ki setting thik se execute nahi ho pati jiski wajah se blog ke kuch post navigation ke doran visible nahi hote. Friends aaj ka hamara ye tips aapko kaisa laga hume jarur bataye or ye bhi bataye ki in sabhi tips ko aajmane ke bad aapki problem solve hui ya nahi.. Comment karna na bhule . HAPPY BOGGING

8 thoughts on “Blog post nahi dikh raha – Why Blogger Post Not Visible? Smart Hindi Tips”

  1. Nice post aap ki jankari achchi hai. Kya aap bata sakte hai ki blogger ke blog ka views ko badhane ke liye kya kar sakte hai. Ye Mera website hai. Please help me.

  2. Sabse pehle aapko apne domain name ko custom karna hoga. Ek accha sa domain name buye karke usay apne blog par kagaye .. Domain name apne blog par kaise lagaye iski jankari ke liye hamara post read kare – Blogger me custom domain kaise agaye ? Blogger me custom domain kaise agaye ? . Or ane blog ki traffic improve karne ke liye ye post read kare – Blog ki traffic kaise improve kare ?

    1. Nandani Kumari

      Thank-you Ravi Sir for your support now my 1-2 posts are getting google’s first page indexing. But Sir, What I can do So that all posts get more organic views (more than 1000 views) and visible to more people on Google.

      1. Ye to acchi bata hai ki aapka post google search result ke first page par rank kar raha hai. Kisi bhi blog post par agar organic traffic badhana hai to wo post high quality or seo friendly hona chahiye.. Waise bahut se point mayne rakhte hai aap hamare ish article ko read kare taki aapko puri tarah samajh me aa jaye ki aapko karna kya hai- Organic traffic kaise badhaye ?

  3. Same problem i am also facing.just want to know ki “browser ki catch file kaise delete karni hai “.please reply soon kyunki mein apne blog ko sahi se design nahi kar paa rahi
    regards
    Vv

    1. Agar aap chrome browser use kar rahi hai to ctrl h dabaye or clear browser data par click kare.. Aapko cached file delete karne ka option mil jayega..

  4. I followed the instructions but still all posts were not visible with that theme. Then I tried many other themes but only with SEO HUB Theme all posts are showing .

    But still i am having one problem that at the end of the page
    “PAGE NUMBER ” 1,2,NEXT” is not visible in my site.
    Its only showing “older posts “,”newer post ”
    Is there any means by which this problem be fixed ????

    1. Maine aapke blog ko visit karke dekha , aap apne blog par kam se kam 30 post publish karne ke bad dekho ki post visible hote hai ya nahi.. Or post pagination ke liye aap apne blog ka theme change kar sakte ho ya fir iske liye pagination code use kar sakte ho.

Comments are closed.

Scroll to Top