Hello friends, humne apne previous post me aapko bataye tha ki kaise kisi bhi blogger post me meta description add karke hum usay search engine friendly bana sakte ho.. Or is article ke jariye aap janoge ki kaise apne WordPress blog post me meta description add kare.
Waise to bahut se aise plugins aapko WordPress pe mil jayege jiske istemal se aap easily apne post me meta description add kar sakte ho, par Yoast SEO plugin se behtar or koi nahi. Kisi bhi WordPress blog ko SEO friendly banane ke liye Yoast plugin bahut jaruri hai. Or aaj hum isi ke bare me batayenge ki kaise aap Yoast plugin ki help se apne post par bahut aasani se meta description add kar sakte ho.
Par ye sab janne se pehle ye jarur jaan le ki ye meta description hota kya hai ? Meta description kisi bhi blog ya post ka ek short description hota hai jissay search engine ko help milti hai blog ko rank karne me. Meta description ki help se search engine aapke post ko accurate ranking dene me capable hota hai. Par iska matlab ye nahi ki aapke blog ka content me quality na ho..
Me hamesa ye kehta hu or aaj bhi kahunga ki agar aapke blog ka content accha nahi hai to aap chahe jo bhi kar lo aapke blog ka rank search engine par accha nahi hoga.. Anyway , to chaliye aate hai apne main topic par.. Par agar aapne apne blog me Yoast SEO plugin install nahi kiya hai to sabse pehle usay install kar le..
WordPress post me meta description kaise add kare ?
Yoast SEO plugin install karne ke bad aapko apne post me jana hai jisme aap meta description add karna chahte ho..

Post ke buttom me Yoast SEO ko expand karna hai..
Agar Yoast plugin install karne ke bad bhi aapko Yoast seo ka option apne post ke niche najar nahi aa raha hai to aap apne wordpress ke screen option me ja kar Yoast SEO select kijiye..

Yoast SEO expand karne ke bad aapko apne blog post ka meta description or focus keywords dalna hai..

Meta description me apne post ka short description dale jissay ye pata chal sake ki aapka post me kya kya hai or kisi topic par aapne focus kiya hua hai. Focus keywords me aap apne blog post ka main keywords dale.
Bas itna hi aapko karna hai.. Aap apne sabhi WordPress post me meta description dal kar apne post ko seo friendly banaye. Agar aapko humse kuch puchna hai ya fir aapko hamari ye post acchi lagi or aapko kuch naya sikhne ko mila to hume comment ke jariye jarur bataye. HAPPY BLOGGING
हमारी अन्य सेवाएं
- Adsense approved करवाना
- Wordpress setup
- Blogger ब्लॉग को wordpress पे transfer करना
- किसी भी तरह की वेबसाइट बनाना
- Android App बनाना
Good information Aapne Share kiye hain. Sir, me yah janana chahta hun ki wordpress blog me post ke alawa homepage yaani website me description kaise add kare ?
Ye to post ke baare me diye hain.
Aap apne wordpress Settings>>General me jakar apne blog ka Tagline likhe, yahi aapke blog ke meta description ki tarah work karegi.