Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

Friends aaj sabhi internet ka use kar raha hai or internet ke jariye ghar baithe shopping, train ticket book karna, kisi ko message bhejana , job ke liye apply karna or bahut se aise kaam chutkiyo me kar lete hai jisay karne ke liye hume bahut samay lagta tha. Or in sabhi chijo ko karne ke liye ek email ide ki jarurat hoti hai.

Bina email id ke aap internet pe kuch bhi nahi kar sakte. Agar aapke pas smart phone hai to aapko apne mobile me app install karne ke liye bhi email id ki jarurat hoti hogi or aise me agar aapke pas email id nahi hai to aap apne mobile ko mobile shop me le jate honge app install karwane ke liye..

To doston aaj hum aapko batayenge ki kaise aap bahut hi aasani se khud ka email id Google pe kaise banaye ? Email id hume har mouke pe jarurat hoti hai, chahe aap kisi interview ki liye apply kar rahe ho ya apna khud ka business start karne wale ho…

  • Whatsapp ke jariye paise kaise kamaye ?

To apna khud ka Email id banane se pehle ye jarur jaan lijiye ki email id hota kya hai or kaha pe email id banana sahi rehte hai ?

Email id Hota Kya Hai ?

Email id ka matlab hota hai Electronic Mail Identity.. Agar isay hindi me samjha jaye to ye ek message hai jo internet ke jariye kisi ke bhi email id par bheji jati hai. Email account banane ke bad aapko ek email id or password milti hai jiski madad se aap apne email account me login kar sakte ho. Login karne ke bad aap kisi ke bhi email id par message bhej sakte ho.

Aapko pata hoga ki jab bhi aapko koi form bharna ho ya bank me account open karte ho to waha par aapko email id dalna hota hai. Agar aap apne CV bana rahe ho to aapko apne CV me email id dalna hota hai taki aapse email id ke jariye contact kiya ja sake.

  • Video upload karke YouTube se paise kaise kamaye ?

Aaj ke jamane me bahut se aise log hai jinke pas email id nahi hai or unhe ye pata bhi nahi hota ki kaise email id banai jaye.. Par ab aapko chinta karne ki koi jarurat nahi aaj hum aapko batayenge ki aap khud se kaise email id banaye wo bhi free me.

Lekin email id banane se pehle aapko ye tay karna hoga ki email id kaha par banan accha rehta hai , to chaliye iske bare me bhi aapko bata dete hai..

Email Id Kaha Par Banan Accha Rehta Hai ?

Ek baat yaad rakhiye ki email id banane ke paise nahi lagte agar aapko email id banane ke liye koi paise maang raha hai to aap samajh jaye ki koi aapke sath fraud kar raha hai. Waise bahut si online companies hai jisme aap email id bana sakte ho, jaise – Yahoo, Hotmail, Rediffmail, Google etc .. Lekin in sabhi companies me se sabse behtar company hai GOOGLE…

Jo log apne mobile ya fir apne computer se internet chalate hai unhe Google ke bare me pata to hoga. Google internet me top company hai jaha aap apna khud ka email id bana sakte ho.. Or google par email id bana kar aap kisi bhi online form ya apne CV me email id dal sakte ho , apne email id ko officially use kar sakte ho, kisi ko mail bhej sakte ho, lekin iske sath sath iske bahut se fayde hai jaise –

  1. Aap google email id or password ki madad se YouTube me login kar sakte ho or YouTube se paise bhi kama sakte ho.
  2. Aap google ke email id or password se apna khud ka website bana sakte ho or paise bhi kama sakte ho.
  3. Aap google email id or password se play store me login kar sakte ho or apne mobile me app install kar sakte ho.

Iske alawa bhi bahut se fayde hai google me email id banane ke.. To friends ab aapko clear ho gaya hoga ki email id kitni jaruri hai or apna email id kaha par banana sahi rehta hai. Google me email id banane ka matlab hai ki google me apna gmail account banana. To chaliye aapko batate hai – Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

Google par Gmail account banana bahut hi aasan hai , aap niche ke steps ko follow kare or khud se apna gmail account banaye..

STEP – 1

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

1. Sabse pehle apne browser ko open kare or Gmail.com type karke gmail ki website open kare. Gmail ki website open karne ke liye yaha click kare.
2. Gmail website khulne ke bad Create account par click kare.

STEP – 2

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

1. Yaha apna naam likhiye. Jaise ki mera naam Ravi Saw hai to me first name ki jagah par Ravi likhunga or last name ki jagah par Saw likhunga.

2. Username me aap apna naam likhiye , yahi aapka email id hoga.. Maan lijiye ki aapka naam manoj hai to yaha manoj likhiye, agar manoj likhne par koi error dikhata hai to apne naam ke bad number use kijiye jaise manoj123, mano786. ( error isliye aata hai kyonki aapne jo username likha hai wo pehle se kisne use kar liye hai).

3. Yaha par aapko apna password dalna hai, pasword kuch bhi ho sakta hai.. Aisa password dale jo aapko hamesa yaad rahe or kisi ko pata na chale. Aap password me alphabets , number or symbol use kare taki aapka password strong ho. Ye password gmail account me login ke doran use hoga isliye password aisa rakhe jo aap kabhi bhule nahi.

4. Aapne jo password rakha hai usay dubara yaha likhe.

5. Jab bhi aap password likhte ho to wo hidden rehta hai matlab ki dikhai nahi deta.. Password ko dekhne ke liye yaha click kare, yaha click karne par aapko password dikhega or aap dekh sakte ho ki aapne jo password dala hai wo sahi hai ya nahi.

6. NEXT par click kare.

NOTE – Aapne jo username or password dala hai usay yaad rakhiye kyonki gmail account me login karne ke liye iski jarurat hogi. Ho sake to aap apna username or password apni dairy me note kar le taki agar aap apna username or password bhul jaye to koi problem na ho.

STEP – 3

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

1. Yaha aapko pana mobile number dalna hai.
2. Mobile number dalne ke bad NEXT par click kare.

STEP – 4

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

1. Aapne jo mobile number dala tha us par Google ki taraf se ek code aayega usa code ka yaha daliye. Apne mobile ke message inbox me check kare.

2. Agar aapke mobile number par 2 minute ke andar koi message nahi aate hai to aap Call instead par click kijiye. Yah click karne par aapke mobile number me ek call aayega jisme ek code batai ayegi us code ko Enter verification code ki jagah par dale.

3. Code dalne ke bad VERIFY par click kijiye.

STEP – 5

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

1. Yaha aapko apna Birthday month dalna hai, matlab ki aapka birthday kis mahine aata hai usay yaha select karna hai. Agar aapka birthday January me aata hai to yaha January select kijiye.

2. Yaha aapka date of dith yaha likhna hai, agar aapka bithday 2 tarik ko aata hai to yaha 02 likhiye.

3. Yaha aapko apne bithday year likhna hai. Maan lijiye ki aapak birthday year 1990 hai to yaha aapko 1990 likhna hoga.

4. Apna Gender select kare. Agar aap boy hai to Male select kare or agar aap girl ho Female select kijiye.

5. Next par click kijiye.

STEP – 6

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

I AGREE par click kare.

Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me

I AGREE par click karte hi aapka gmail account ready ho jayega. Ab aap apne mail id kisi ke sath bhi share kar sakte hai. Or kisi ko bhi email bhej sakte hai.

NOTE : Registration ke doran aapne jo apna username dala tha wahi aapka gmail id hai yani ki aapka wahi aapka email id hai. Maan lijiye ki aapka user name hai manoj123 to aapka email id hoga manoj123@gmail.com, agar aapko kisiko apna email id dena hai to aap usay manoj123@gmail. com hi doge. Jab bhi koi aapko aapke email id par email karega wo email aapke mail me aayega jisay aap gmail.com ke jariye login karke dekh sakte ho.

To friends aaj aapne jana ki Google Par Gmail Account Kaise Banaye 5 Minute Me, agar aapko hamari ye article helpful lagi to aap hume comment ke jariye jarur bataye. Agar gmail account banane ke doran aapko koi problem hui hai to aap hume apni problem bataye taki hum usay solve kar sake. THANKS

2 Comments

  1. Sir aapne is blog par konsa front use karte ho please muje batao

    1. Hum apne blog pe Serif font use karte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *