Whatsapp account ko delete karne ka matlab hota hai ki aap apna whatsapp number badalna chahte hai ya fir aap whatsapp use hi nahi karna chahte. Agar aap apna whatsapp number change karne ke liye apna whatsapp account delete karna chahta hai to aapko aisa karne ki jarurat nahi, kyunki aap apna whatsapp account delete kiya bina bhi apna number badal sakte ho. Humne apne previous post me bataye tha ki Whatsapp number kaise change kiya jata hai, aap usay jarur read kare.
Bahut se log aise bhi hai jinhe watsapp pe koi bar bar paresan kar raha hai or iski wajah se wo apna whatsapp account delete kar dete hai. Lekin whatsapp me ek aisa function bhi hai jiske jariye aap kisi ko bhi apne whatsapp me block kar sakte ho taki wo aapko paresan na kare. Humne iske bare me bhi apne previous article me bataye hai agar aapko koi whatsapp me paresan kar raha hai to aap usay block kar sakte ho. Kisi ko apne whatsapp me block karne ke liye niche diye gaye post ko read kare .
Dekha jaye to whatsapp delete karne ki bahut si wajah ho sakti hai jaise –
- Agar aapko koi paresan kar raha hai to aap apna whasapp delete kar dete ho.
- Agar aapko apna number change karna hai.
- Agar aapki shadi hone wali hai or aap apne bf/gf ke sath whatsapp contact nahi rakhna chahte.
- Agar aapko whatsapp samajh me nahi aa rahi.
- Agar aap whatsapp chalana hi nahi chahte .
Bahut se log apna whatsapp account delete karne ke liye sirf apne whatsapp ko uninstall kar dete hai, lekin sirf whatsapp uninstall kar dene se aapka whatsapp account delete nahi hota. Lekin log aise hi karte hai , jab unhe apna whatsapp delete karna hota hai to wo apne whatsapp ko hi uninstall kar dete hai.
Whatsapp ki setting me hi whatsapp delete karne ka option hota hai. Ek bar whatsapp account delete ho gaya to aap usay uninstall kar sakte ho. To chaliye jante hai ki Whatsapp account ko kaise delete kiya jata hai ? Lekin sabse pehle aap ye jaan lijiye ki Whatsapp account ko delete karne par hota kya hai ?
Whatsapp account delete karne se kya hota hai ?
Whatsapp account delete karne ka matlab hai ki aap whatsapp se jude hi nahi ho. Yani ki aapka Whatsapp account hi nahi hai. Jab aap apne number par whatsapp chalu karte ho to koi bhi aapke number par whatsapp messages bhej sakte hai, lekin whatsapp account delete hone par aapko koi bhi whatsapp message nahi bhej payega kyunki aapka number unke whatsapp par show hi nahi karega.
Agar aap kisi ke sath chat kar rhe ho or kuch time ke bad aapne apna whatsapp account delete kar diye hai to aapke bheje gaye messages delete nahi hote. Maan lijiye ki aaj aapne humse whatsaapp par chat kiya or kal aapne apna whatsapp account delete kar diye, to hum aapko message nahi bhej sakte lekin aapne jitne bhi message hume bheje hai wo hum dekh sakte hai.
Agar aapne kisi whatsapp group ko join kiya hai to whatsapp account delete karne ke bad aap sabhi group se exit ho jaoge , kyunki aapka whtasapp account delete ho gaya hai.
Whatsapp account ko delete kaise karte hai ? Hindi me puri jankari
Jaisa ki maine aapko bataye ki Whatsapp uninstall karne se whatsapp account delete nahi hota, sabse pehle hume ye pata hona chahiye ki whatsapp account delete kaise karte hai. Or jab whatsapp account delete ho jayega tab aap apne whatsapp ko uninstall kar sakte ho. Whatsapp account delete karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
STEP – 1
Sabse pehle apne whatsapp ko open kare or 3 dot par click kare.
STEP – 2
Settings par click kare.
STEP – 3
Account par click kare.
STEP – 4
Delete my account par click kare.
STEP – 5
1. Apne mobile number likhe. Aap jis number se apna whatsapp chala rahe ho usi number ko likhna hai.
2. DELETE MY ACCOUNT par click kare.
STEP – 6
1. Select reason – Aap kis wajah se apna whatsapp account delete karna chahte ho usay select kare. Aap ish option ko skip bhi kar sakte ho.
2. DELETE MY ACCOUNT par click kare.
STEP – 7
Ab aapko yaha par confirmation message show hoga jisme aapko bataya jayega ki agar aap apne whatsapp account delete karoge to kya hoga. Yaha par bas aapko DELETE MY ACCOUNT par click karna hai.
Bas itna karte hi aapka Whatsapp account delete ho jayega. Or whatsapp account delete hone ke bad aap apne whatsapp ko uninstall kar sakte ho.
Friends aapne ye to sikh liya ki apne whatsapp account ko kaise delete kiya jata hai or hume puri ummid hai ki aap apne whatsapp account ko delete karne me kamyab jarur huye hoge. Aap apna feedback comment ke jariye jarur bataye or agar aap humse whatsapp se related kuch puchna chahte ho to hume comment kar sakte ho. THANKS
Bajrang Lal says
गजब की जानकारी शेयर की है भाई
Ravi Saw says
Thanks Bajrang bhai