Blog Post Ke Niche/Upar Social Share Button Kaise Lagaye? Blog post me social share button laga kar kar hum apne blog par aane wale visitors ko ek option dete hai ki wo hamare blog post ko apne social sites par share kare. Agar aap apne blog me quality article publish karte ho to aapko apne blog post me social share button lagana hi chahiye.
Ab aap sochte honge ki social share button ka post quality se kya matlab? Aapko kya lagta hai ki agar aapka post me quality nahi hai to kya koi aapke post ko apne social network par share karna chahega? Nahi aisa ho hi nahi sakta, agar aapke post me quality nahi hai to koi bhi visitor aapke blog post ko apne social network par share nahi karega, aise me aapko apne blog par social share button lagane ka koi fayda nahi hoga.
Jab koi visitor aapke blog post ko read karne ke bad impress ho jata hai to wo chahte hai ki kaise ish post ko apne friends ke sath share kiya jaye, aise me agar aap apne blog post me social share button lagaoge to visitors aapke blog post ko easily apne social site par or friends ke sath share kar sakte hai.
Humne apne previous post me aapko bataye tha ki – Blog me floating social share button kaise lagaya jata hai? agar aapne hamare us article ko read kiya hai to aap samajh gaye honge ki social share button hamare blog ke liye kitna faydemand hai. Chaliye aapko ek brief me batate hai ki social share button lagane se kya fayde hote hai.
- Aap khud apne social share button ke jariye apne social site par apne blog post ko share kar skate ho jissay aapka time bachta hai.
- Visitors aapke blog post ko apne soical network par easily share kar sakte hai.
- Social share button lagane se aapko apne blog par social traffic lane ki chinta nahi karni padti, aapke blog visitors hi aapke blog ke liye social traffic lane ka kaam karte hai.
To friends ab aap samajh hi sakte ho ki social share button kisi bhi blog ke liye kitna jaruri hota hai. Aaj hum aapko batayenge ki kaise aap apne blog post ke niche ya fir upar social share button laga sakte ho. Lekin sabse pehle hum aapko bata de ki ye social share button dikhne me kaisa hota hai.

Aap upar diye image ko dekh kar samajh sakte ho ki ek social share button dikhne me kaisa hota hai. Yaha aapko 4 social site ke naam dikh rahe honge, lekin iske alawa bhi isme bahut se social sharing sites ke option hai bas aapko + sign par click karna hai.

Social sharing button me aapko wo sabhi social sites ke naam milte hai jaha par aap apne blog post ko easily share kar sakte ho. To friends aaj jo humko social sharing button ke bare me batane ja rahe hai usme aapko sabhi social sites ke sharing option milte hai. To chahliye jante hai kaise blog post ke upar niche social share button lagaye.
Blog Post Ke Niche/Upar Social Share Button Kaise Lagaye?
STEP – 1
Niche diye gaye code ko copy kare

If you like this article share this in your social sites

NOTE: If you like this article share this in your social sites ko apne hisab se aap likh sakte ho jo ki aapke social share button ke upar display hoga. Aap apne description text color ko bhi change kar sakte ho bas aapko blue ki jagah apna color code dalna hoga.
Code copy karne ke bad is code ko aapko apne blog par lagana hoga.
STEP – 2

1. Sabse pehle apne blogger dashboard me jaye or Theme par click kare.
2. Drop down arrow par click kare.
3. Edit HTML par click kare.
STEP – 3

1. Edit Html par click karte hi aapko apne blog ka HTML code najar aayega, bas aapko apne html code par kahi par bhi click karna hai or Ctrl+f dabana hai. Ctrl+f dabate hi ek search box najar aayega jaha par aapko <data:post.body/> likh kar search karna hai.
<data:post.body/>
2. <data:post.body/> code ke upar or niche aapko apne social share button ka code paste karna hai. <data:post.body/> ke upar code paste karne par aapke blog post ke upar me social share button visible hoga or agar aap <data:post.body/> ke niche code paste karte ho to aapke blog post ke niche social share button visible hoga. Aap upar diye gaye image me dekh sakte ho ki me apne blog post ke upar or niche social share button lagana chahte hu isliye maine <data:post.body/> ke upar or niche code ko paste kiya hai.
3. Code ko paste karne ke bad Save theme par click kare.
Bas itna hi aapko karna hai, aap apne blog post ko check kare aapke blog post me social share button visible ho gaya hai. Aap social share button ko check karke bhi dekh lo ki ye thik se kaam kar raha hai ya nahi.
Apne blog post ko socially share karne ka sabse accha option ye hai ki hum apne blog post ke niche ya upar social share button lagaye or aaj ke hamare post ke jariye aap apne blog post me social sharing button lagane me successful jarur huye hoge. Agar aapko blogging se related kuch bhi puchna hai to aap hume comment jarur kare. HAPPY BLOGGING
9583450866
nice post sir maine ise apni website me add kar liya thank u so much ise share karne ke liye
Its ok afreen
Acchi jankari bhai thanks